Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

YEH JINDGI KAHAN TAK HAI

 

Is duniyan mein pyar ke kuchh khaas raaj hote hain

Hamare jaagti aankhon mein bhi khwaab hote hain

Yeh to jaroori nahi hai ki har gam mein aansoo aaye

Kabhi in mushkurati aankhon mein bhi saylab aajaaye

Jo muddaton se mera tha wo to mera ho hi nahin paya

Aankhon mein aansoo bhare hain par main ro nahin paya

unhon ne kaha tha ki marne ke baad milenge khwaab mein

badkismati to meri hai ki main so na paya unki yaadon mein

yeh main manta hoon ki har gulaab pe titliyaan nahin aati

Hamesha dukn dard mein ro dene se siskiyaan nahin aati

Jab bhi kabhi ham unko yaad karte hain apne dilo jaan se

Par na jaane kabhi wo tabah kyun na hoti hain hichkiyon se

Ab toh mera waqt hi badalta rahta hai mere jindgi ke saath

Aur phir yeh tanaha jindgi bhi badalti hai mere waqt ke saath

Waqt na badla par mere dost badal gaye hain waqt ke saath

Rishtedar jo apne thea ab badal gaye hain doston ke saath

Jin deepon ko hamne hawa ke jhonkho se bachaaya tha

Unhi deepon ne aag ugal kar mera daman jala dala tha

Ab jab apna kalam uthaya hai to sahi alfaaz nahi milta hai

Main ab jisko dhoondh raha hoon wo saks nahin milta hai

Mat poochho ki ab mera sabr ka imtihaan kahan tak hai

Ab hamko to yeh dekhna hai ki yeh jindgi kahan tak hai.

 

 

img15.jpg

 

 

AAP  KAB YAAD AATE HO ?

 

Aap kab kab yaad aate ho sanam yeh bhi sun lo hamse.

Jab mehfil begaani hoti hai

Jab shaam suhaani hoti hai

Jab koi nayi kahani hoti hai

Jab beeta pal kachotata hai

Jab log nazaarat hote hain

Jab apne paraye hote hain

Jab saaya bhi kho jaata hai

Jab dil dimag so jaata hai

Jab sooraj ugne lagtaa hai

Jab chaand dhal jataa hai

Jab yeh aankh bhar aati hai

Jab baat koi chhid jaati hai

Jab yeh jindgi hansaati hai

Jab  jina haram ho jaata hai

Jab jindgi rula deti hai

Jab uljhane sataati hain

Jab main khud se baat karta hoon

Jab paristithiyon se main ladtaa hoon

Tab aap yaad aate ho aur bahut yaad aate ho

Har pal har waqt har ghadi har saans ke pahele aur baad

Aap yaad aate ho kasam aapki aap bahut yaad aate ho

 

img50.jpg

 

YEH MERI DIWALI HAI

 

Is saal ki Diwaali mein bhi wahi roshni hogi aur wahi diya bhi jalte honge

Shayad saaz bhi wahi hogi par wo aawaaz nahin hogi jo dil mein honge

Laachaari hai kin a hongi unki parchhanyii aur na aayengi unki paayal ki aahat

Bahut soonsaan hogi yeh Diwali bina sanam ke mujhko kayse milegi raahat

Yeh ham bhi maante hain yeh unko bhi bata dena yaro yeh Diwali neeras hai

Rotey huye gujaarenge ham apni yeh Diwali jo hans hans ke chamakti rahi hai

Is Diwali mein aansoo jo bathe hain unko bahne do yeh kah rahe hain dil ki baat

Aaj ham kah daalenge haal e dil apna na jaane kayse kategi ye Diwali ki raat

Ayse mein akelapan kaatata hai betaabi badh jaati hai aur need nahin aati hai

Unse koi kahde ja ke jara wo aake doob jaayen meri yaadon mein banda haazir hai

Har pal har waqt har ghadi har saans ke pahle aur baad unki hi yaad sataati hai

Kasam mujhe payda karne waalon ki wo is Diwali mein mujhko bahut yaad aati hai

Hamare pyar ka yeh pawitra rista na naya aur na hi ab purana lagta hai

Hamare jeewan ka har pal bada suhana tha par ab sab neeras lagta hai

Juda hona apne kismat ki baat hai par judai mein hamko bhoolna na aata hai

Lakhan ki Diwali kayse sajegi jab uski dilruba uski Saroj hi yahan nahin hai.

BHOOLI BISRI YAADEN

 

Apni wo bhooli bisri sabhi yaaden, fasaane aur ummeeden yaad aaten hain

Jab tum yaad aate ho to tumare saath tumhare sabhi baaten yaad aati hain

Wo madhur lamhen wo pyar ke taraane aur wo tamaam khushiyan yaad aate hain

Ab to kewal gam mein jindgi bitaata hoon tumse milney ke liye aankhen tarasti hain

Dukh ke baadal chha gaye hain aur dard ke jhonkhe aag laga kar chali gayi hain

Jitney phool khile thea mere jeewan ke shaakon par ab sab murjha gaye hain

Ab to is jaalim duniyan se dartey hain par chhup chhup ke ro lete hain

Kitna gahra chot laga hai is nazuk dil par  zakham dikha nahin sakte hain

Apni wo bhooli bisri sabhi yaaden, fasaane aur ummeeden yaad aaten hain

Jab tum yaad aate ho to tumare saath tumhare sabhi baaten yaad aati hain.

 

 

img15.jpg

 

AUR KISI SE KYA KAAM

Apne bageeche ke saare khiley phool tere hi naam kar diya hai

Yahaan ka har subhah ka pahela kiran bas tere naam kar diya hai

Tu meri yaad ki baheti dariya hai mere jheel ke kamal tere naam

Jitney bhi tere khwaab aate hain un sab ka har ek pal tere naam

Ab tere bina jo umar beet rahi hai us umar ka baaki hissa tere naam

Mere jine ka sahara teri madhur yaaden hain aur kisi se kya kaam.

 

BAS MAIN TADAP RAHA HOON

 

Koi rooth kar ya khafa ho kar jaaye to manaanaa aasaan hota hai

Par jab koi yeh duniya hi chor de toh kuchh bhi mumkin nahin hai

 Hamne jeewan mein bahut si khata ki par unka saath toh nahi chora

Meri jara si aankh lag gayi thi toh unhon ne mere duniyan ko  hi chora

Unse meri atoot yaari unse mere sab waade ek pal mein hi toot gaye

Is viraane mein ab ham sabhi bikhre huye yaadon ko batorte rah gaye

Sab kuchh toh kho gaya hai mera tumhare pyaar ke sahare jee raha hoon 

Yehi toh ab mere chaahat ki intehaan hai bus main tadap raha hoon .

UNKI HI TALASH HAI

 

हर ख़ुशी है मुझ से खफा खफा मुझे अब जिंदगी की तलाश है

जिसे ढूंढ कर भी न पा सका मुझे शायद अब उन्हीकी तलाश है

मैं उदास रस्ता हूँ शाम का मुझे उनकी आहटों की अब तलाश है

यह सितारे हैं सब बुझे बुझे मुझे अब जुगनुओं की तलाश है

मरे प्यास में वो तलब नहीं है मुझे तिश्नगी की अब तलाश है

एक हजूम सा है रवां दवाँ मुझे अपने दोस्त की ही तलाश है

मेरी जिंदगी है एक रास्ता मुझे मंजिलों की ही अब    तलाश है

नजाने क्या है जो खो गया मुझे शायद अब अपनी ही तलाश है

लखन को उसकी सरोज न मिले फिर भी अब उन्ही का तलाश है

जिंदगी एसे ही गुजर जाए सारी उमर भर अब उनकी ही तलाश है

 

                लखन तड़पता है

 

चाँद सा रोशन उनका चेहरा था फूल सी प्यारी थी मुस्कान

परियों से सुन्दर बदन था ये नाजुक दिल हुवा उनपे कुरबान

अब मेरा वक़्त ठहर गया है और ठहरी है मेरी हर मुस्कान

बिखरी बिखरी है धूप जमीन पर दिल मेरा उन पर कुरबान

हर लह्मा हम ढूंढ रहें हैं उनको मन तड़पत है सुबह शाम

न दिन कटता है न रात बीतती न ही अच्छा लगता शाम

देख के उनको स्वर्ग में चाँद भी छुप गया है शरमा कर

देख के उनके जुल्फों की शान घटा थम गयी गगन पर

उन्हें निहारे झिलमिल सितारे पर दिल मेरा रहता निराश

उनका बिछड़ना खटक रहा है अब होता नहीं है बिस्वाश

दिन बीते महीने गए अब तो दो साल भी निकल गए हैं

सरोज के खातिर लखन तड़पता है दम भी निकल रहें हैं

 

 

 

  अपना प्यार छुपाया करो 

 

अपनी नशीली नज़रें मेरी खामोश नज़रों से चुराया न करो

गर मुझ से प्यार करते हो तो अपना प्यार छुपाया न करो 

शबनमी होंठ हैं तुम्हारे और झील सी गहरी आँखे भी हैं

कर के मदहोश मुझे फिर कभी भी होश में लाया न करो

अपनी नशीली नज़रें मेरी खामोश नज़रों से चुराया न करो

गर मुझ से प्यार करते हो तो अपना प्यार छुपाया न करो 

कोई तड़पता है तुम्हारी याद में ये क्यों न सोचा तुम ने

अँधेरे राह में हम को छोड़ कर अकेला यूँ तो जाया न करो

अपनी नशीली नज़रें मेरी खामोश नज़रों से चुराया न करो

गर मुझ से प्यार करते हो तो अपना प्यार छुपाया न करो 

बहुत सुकून मिला था मुझे जब हम आये थे तेरी पनाहों में

गुजर न जाए ये हंसी लम्हें अब अपना समय जाया न करो

अपनी नशीली नज़रें मेरी खामोश नज़रों से चुराया न करो

गर मुझ से प्यार करते हो तो अपना प्यार छुपाया न करो 

अपने लखन का कहना मान लो लौट के आ जाओ घर अपने

कहीं मेरा भी दम न निकल जाए कुछ हम पर भी दया करो

अपनी नशीली नज़रें मेरी खामोश नज़रों से चुराया न करो

गर मुझ से प्यार करते हो तो अपना प्यार छुपाया न करो 

 

 

 

SEENE MEIN EK AAG DHADHAKTI HAI

 

 

Log kahten hain ki mil jaati hai har cheez dua sey

Ek roz phir maangoonga unko apni duwawon sey

 

Sari duniya ki khushi mili thi ab toh gam hi mila hai

Wo kyun nahin milti hai mujhe jisko dil chahta hai

 

Na jaane ab kahan hain wo aur kya kar rahi hai

Ham mar jaayen ya jiyen yahan kya unko fikar hai

 

Ay dil tu unko yaad kar ke kuchh ayse tadapne lag

Mudke wo Muskura de jo ho gayen hain mujhse alag

 

Dastoor yahi hai jo chale jaaten wo lautate nahin hain

Phir na dua hi aur na hi dawa bhi koi kaam aati hain

 

Unki tasveer diwaar pe laga li hai to ankh mein varish kam hai

Subah jab need khulti hai to seene mein ek aag dhadhakti hai

 

img51.jpg

 

 

UNKE BINA GUZARA NAHIN HOTA HAI

 

 

Is duniya mein ab rone se ghame dil ka koi guzara nahin hota hai

Aansoo bhi mohabbat mein girawo  toh koi sahara nahin hota hai

Kabhi kabhi aysa lagta hai ki ab yahan bekaar hi jeete hain

ham

Jiss roz har pal subah sham mere pritam ka didaar nahin hota hai

Mohabbat ke is dariya mein toofan bhi hain aur bhanwar bhi hai

Sach toh yahi hai ki har kasti ke kismat mein kinara nahi hota hai

Lagta hai ki pyar se mujko koi choota hai par dikhaata nahi hai

Mere sapne hi hain apne par ab unke bina guzara nahin hota hai

Naya saal aane wala hai par mere liye toh koi nayi baat nahin hai

Jalsa ho ya tyohar ho yeh mere liye ab koi matlab nahin hota hai

 

img52.jpg

 

 

 

 

MERI UJDI DUNIYA

 

Is jahaan mein kabhi kisi ko paripurn sthaan nahin milta hai

Zameen ho ya aasmaan kahin hamko shanti nahin milta hai

Unke jaane ke baad mere sabhi sukh ka jeewan kho gaya hai

Ab aysa lagta hai ki din katata nahin aur jeena bhi haram hai

Is duniyan mein sabhi log apne aap mein gumm rahte hai

Hamko jubaan mila hai par hamko sabdh nahin milta hai

Dil mein aag laga ho us shole ko koi nahin bujha sakta hai

Mere seene mein aysi aag hai jis mein dhuwaan nahin hai

Is jahaan mein kahin aysa toh nahin ki pyaar hi nahin hai

Jab sab ummeed toot chuke ho phir chain kahan milta hai

Meri ujdi hui duniya ko mukammal banaane wala koi nahi hai

Unka saath nahin hai toh mere sare badan mein aag jalta hai.

 

 

 

NA JAANE KAB

 

Na Jaane kab rukega yeh jalim dard na jaane kab sukh ki subha hogi

Kahten hain ki agle janam mein jab wo milengi toh kuchh sukoon hogi

Kab mere dil ke lahoo paani banenge aur kab ye asq khoon hogi

Kis din wahaan meri sunwaaii hogi kis din unse phir mulakaat hogi

Kab mere chaman mein mahkenge fasl-e-gul kab dil mein chain hogi

Kab phir suhani subah hogi kab phir mere shaanjh mein sukhan hogi

Ab toh na chah hai na nafrat hai na saathi hai na qaatil ki raj hogi

Ab is viraan duniyan mein na jaane kayse meri gujar basar hogi

Kab tak main ayse unka raah dekhoon ay Parwar Digaar wo kahan hogi

Kab main teri duwa karoon jis se teri duwa mere dard ki dawa hogi

 

img16.jpg