Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

UNKI YAAD KAYSE JAAYEGI

 

Is jeewan mein teer chalaaiye ya phir talwaar chalaayiye

Jeena ho khushi se toh apne dil mein bas pyar jataayiye

Shaayar nahin koi fankaar bhi nahin hamko koi chaahiye

Ghar na koi darbaar nahin bas unka ek deedaar chahiye

 

Na koi takht na taaj dena hamko unka sahara chahiye

Aasaan nahi hai yeh jeena hamko raahe pyaar chahiye

Meri jindagi ab maut ki amaanat hai  bas chalte rahiye

Jab tak jeena hai jiwo par jindgi ko sambhaal ke rakhiye

 

Jab din hota hai toh raat bhi hogi jara theek se dekhiye

Mat ho udaas kabhi phir se sunhari subhah ko dekhiye

Jab itna pyaar kiya hai unse mohabbat ka maan rakhiye

Agar jindagi  rahi toh phir kahin unse mulakaat keejiye

 

Gahre saagar mein agar door ho kinaara  tayrte rahiye

Unki yaaden toh saath hain unko sambhaal  ke rakhiye

Chaahe na ho baat ya mulakaat sirf  yehi yaad rakhiye

Sapne mein aaye wo toh ek baar muskura ke dekhiye

 

Ab wo hi nahin saath tere toh is jindagi ko kya keejiye

Tanhaai ka silsila rah gaya hai ab unko hi yaad keejiye

Har kadam pe unko pyar karna yeh baat maan leejiye

Akela rahe toh marr jaawoge bas unke saath ho leejiye

 

Unke judaai ka gam na kar jindagi se samjhauta keejiye

Wo rahe ya na rahen yahan unse pyar kam nahi keejiye

Jab  pyar kiya hai toh Har pal unke aane ki raah dekhiye

Pyaas toh hogi har waqt unse milne ki yeh yaad rakhiye

 

Agar wo phirse miljaaye kisi modd pe unke paas jaayiye

Unko galea se laga kar ek bar unko pyar se choom leejiye

Sab kuchh toh hai yahan par ab unko pyaar se toh dekhiye

Aankhen band kar ke dekhiye aur unko phirse pyar keejiye

 

Na jaane kyun yeh sab dard milta hai mujhi ko jara sochiye

Shaayad tere takdeer mein yahi tha saajan ab nahin royiye

Laakhon taare hain aasmaan par lekin us chaan ko dekhiye

Kya mera chaand mujhe dekh raha hai yeh baat bataayiye

 

Kitni dukhon ke raaten beet gayi sabhi din bhi beet jaayegi

Agar jaati nahin unki madhur yaaden toh yaad kayse jaayegi

Lakhan ke liye yeh sab sahan karke aage baat kayse banegi

Saroj ke sahare aur unke yaadon ko leke yeh jindagi chalti rahegi.

 

 

 

 

img15.jpg

 

Hakdaar Nahin Hai

Hamne dekha hai ki pareshaniyon se bhaagna aasaan hota hai

Lekin har bahadur vyakti ke liye mushkilen jindgi ki ek imtihaan hoti hai

Agar himmat haar jaawoge toh jindgi mein kuchh nahin paawoge

Par jab mushkilon se ladh padoge tab apne kadmon mein jahaan paawoge

Yeh baat bhi sach hai ki koi rishta naya ya purana nahin hota hai

Yeh bhi maan lo ki jindgi ka har pal hamare liye suhaana nahin hota hai

Ek baar mil kar phir se juda ho jana toh apni apni hi kismat ki baat hai

Par is jahaan mein har judaai ka matlab toh apne ko bhol jaana nahin hota hai

Kisi ke mushkil samay mein saath chhorne se unka samay nikal jaata hai

Par ham apni mushkil ghadi mein un se madat maangne ke hakdaar nahin hai

Jayse khokar kisi ko phir sey paane ka majaa hi kuchh aur hota hai

Wayse hi rokar phir sey muskurane ka majaa hi kuchh aur hota hai

Jayse is duniyan mein haar jeet toh yeh jindgi ka ek hissa hota hai

Wayse hi mere doston haarne ke baad phir jeetne ka majaa hi kuchh hota hai

img53.jpg

Hamari Badkismati Toh Dekho

 

Jo mera jeewan saathi bana tha wo bhi mera sab din ke liye ho na paya

Ab unke bichhad jaane pe aankhon mein aansoo bhare toh main rob hi na paya

Jaate jaate unhon ne kaha tha ki ham tum se phir milenge khwabon mein

Par meri badkismati hai ki us raat main maare khushi ke so bhi nahi paya

Jab mera waqt badal gaya hai mere jindagi ke saath saath

Tab na jane kyun ab jindagi bhi badal gayi hai waqt ke saath saath

Ab toh mera waqt bhi badalta rahta hai mere kuchh doston ke saath saath

Bas ab mere kuchh dost bhi badal gaye hain waqt ke saath saath

Mere kismat pe mat hansiye kyunki ham bhi kabhi muskuraya karte thea

Chaahe ujaala ho ya andhera ho ham dono apne pyar ke diya jalaya karte thea

Ab hamari badkismati toh dekho ki usi diya ne jala diya mere ghar aangan ko

Jis chamakte diye ko ham sada hawa ke jhonkon se bachaaya karte thea

 

img15.jpg

 

 

 

JAMAANE BEET JAATEN HAIN

 

Kabhi kabhi toh yeh nazren milane mein jamaane beet jaaten hain

Phir kabhi kabhi yeh nazaren churane mein bhi jamaane beet jaaten hain

Hamne jab apni aankhen kholi toh ek ajeeb si duniyan ko saamne paya

Jahaan ghar grihasti aur dost ko banane mein jamaane beet jaaten hain

Kabhi kabhi kaali ghataayen hamko kewal pal bhar ki lagti hain

Kabhi kabhi kewal ek hi pal bitaane mein jamaane beet jaaten hain

Kabhi kabhi jab ham apna darwaaja kholte hain toh saamne hoti hai manjil

Kabhi kabhi toh apne manjil ko paane mein jamaane beet jaaten hain

Kabhi kabhi ek hi pal mein toot jaaten hain umar bhar ke saare rishte

Yahan un rishton ko phir sey banane mein jamaane beet jaaten hain.

 

img15.jpg

 

Naye Saal Ki Nayi Rachnaayen

 

Agar galey miloge tapaak se toh koi haanth bhi na milaayega

Yeh duniyan naye mizaaj ki hai jara samajh boojh kar chaliyega

Parmaatma hamko aysi aatma na dena ki apne siwa kuchh aur dikhaai na de

Aankh bhi hamko dena toh aysi dena ki kabhi koi bhi bura dikhaai na de

Milna kahin bhi mere dost toh kabhi katra ke kahin nikal nahin jana

Badalte mausam ke tarah mere dost kahin tum bhi na badal jana

Aap bhi shaayad akele ho meri tarah tanhaai toh hoti hogi

Din mein kho jaya karoge toh raat ko neend nahin aati hogi

Umar meri beet gayi ek achhe ghar baar aur mintr bananey mein

Par kuchh log taras na khaate hain lakhon bastiyon ko jalaane mein

Ab mere bagiche ke har gulab pe titliyan nahin aati hain

Jayse ab mere har rone par waysi siskiyan nahin aati hain

Ham hamesha unko yaad kar ke apne dil ko bahla lete hain

Lekin na jaane kyun unko aajkal hichkiyan nahi aati hain

 

img15.jpg

 

 

KUCHH LAASH PAR TAAJMAHAL BAN JAATEN HAIN

Ham apne har doston se baat karna apna fitrat samajhte hain

Hamare har dost sada khush rahen yahi hasraten hamari hain

Chahe hamko koi yaad kare ya na yaad kare hamko fikar nahin hai

Par apne sabhi doston ko yaad karna ab toh hamari aadat hai

Jo log apne safar ki shuruat karte hai wo hi apne manjilon ko paar kar lete hain

Bas ek baar saath chalne ka hausala toh rakhiye achhe doston ka toh raaste bhi intjaar karte hain

Jindgi ko aajmana hai toh jeewan ke dhaar ke vipreet jakar dekhiye

Badi aandhiyan khud ruk jayengi mod legi raasta ek deepak jala ke dekhiye

Hamne dekha hai ki kuchh patthar mein bhi phool khil jaaten hain

Jayse kabhi kabhi kuchh anjaane log bhi apne ban jaaten hain

Dukh hai ki is kaatil duniya mein kuchh laash ko kafan bhi naseeb nahi hoten hain

Lekin hamne dekha hai ki kuchh laash par taajmahal bhi ban jaaten hain.

 

 

img54.jpg

Aansowon Ko Aankhon Mein Panah Nahin

Koi bhi rishte ke liye kareeb itna raho ki us rishtey mein pyaar bana rahe

Agar door bhi raho toh itna hi raho ki aane jaane ka intzaar bana rahe

Har waqt itna ummeed rakho ki har ristey ke darmiyaan ek ehsaas bana rahe

Agar kabhi toot bhi jaaye ummeed toh us ristey ka bandhan bandha hi rahe

Rishta nibhana hai toh mat poochho logon ki sabr ki intehan kahan tak hai

Kisi par sitam mat karna kabhi pyaar karte rahna teri taakat jahan tak hai

Jis ko wafaa ki ummeed ho unko karne do hum ko toh kisi se bewafaai tak nahi hai

Dosti aur pyaar ayse nibhawo par yeh na dekho ki dushman jaalim kahan tak hai

Is jalim duniya mein har ek jazbaat ke paas zubaan nahi milti hain

Jayse hamare har ek aarzoo ko yahan sab din duaayen nahi milti hain

Jab apna muskuraahat banaye rakhoge toh duniya tumahe saath rahegi

Maatam ho jaaye toh aansowon ko bhi aankhon mein panah nahi milti hain

 

 

img15.jpg

 

Meri Kavitawon Ki Ek Aur Sangraha

Aaj se pachpan warsh  pahle unhon ne mere hanthaili par kuchh likha tha

Na kalam tha na siyahi thi apni ungliyon se kuchh ayse likh diya tha

 “Mujhe tum se pyaar hai” jab  likha tha mere hanthaili mein gudgudi laga tha

Aaj tak wo shabdh mitey nahin lekin unko mahsus karna bahut mushkil tha

 

Dua maanga tha ham ne ek aashiyaane ki lekin chal padi thi aandhiyan jamane ki

Aaj tak mere haalaat ko koi samajh nahi paya kyunki meri aadat thi muskurane ki

Un dino jab nazron se nazron ka takrar ho gaya har modd par unka intzaar ho gaya

Ab jab unka nidhan ho gaya tab dil rota hai jakham hota hai isi ko pyar kaha gaya

 

Dil kahta raha dimag samajhta raha unka chehra aankhon mein samaata raha

Unke jaane ke baad yeh aankhen unko dekhna chahti rahi par main tadapta raha

Jab unse mohabbat main karne laga tha kuchh sochne ke liye bachaa nahin tha

Na uljhan na koi diwaangi thi par unke jaane ke baad dekha toh kuch bachaa nahin tha

 

img15.jpg

          

 

Hamare pyaar kie aanch se patthar bhi pighal jaate thea apne dil ki baat kya kahoon

Unka saath ek jannat tha jo mera naseeb hi badal daala ab judaai kayse sahoon

Mere pyaar ke raahon mein mil gaya tha sacha hamsafar ek baat aur kahoon

Mere jaysa girey insaan ka takdeer bana kar wo chali gayi ab main kya karoon

 

Ab mere duniyan mein na roshni hai, na koi chiraag hai na koi awaaz aur saaz hai

Bas ab unki parchhanyin aur unki aahaten hain yeh jindgi ab bahut neeras hai

Ab koi mujh se yeh na pooche ki mere sabr ki intihaan kahaan tak hai

Ay jalim jindgi tu ham pe khoob sitam kar le teri takat jahaan tak hai

Sukh ki ummeed jisko hogi unko hogi par mujhko dukh kahan tak hai

 

Ab toh yeh ham bhi maan lete hain aur unko bhi maan lena jaruri hai

Unke chale jaane ke baad aaj tak hamne ek viraan jindgi gujari hai 

Ab toh betaabi hadd se jyaada badh jaati hai aur samay katna nahin hai

Unki madhur yaadon mein doob jaata hoon kisi ka sahara nahin hai

 

Jis waqt mera janaja aap ke gali se gujrega dosto koi fikar nahin karna

Apne jazbaat par kaaboo kar lena lekin darwaje se mera nazaara karna

Apne kalam ko kai baar rakh di hai kyun ki ab lafz nahin milta hai

Jisko dhoondh raha hoon itne dino se wo saks yahan milta nahin hai

Phir raha hoon wahi purane jamane ki talash mein lekin wo milta nahin hai

Taras raha hoon unke deedaar ke liye  lekin ab wo bhi ab milta nahin hai

 

img55.jpg

 

Ab hamko bhi pata chala hai ki mohabbat ke bhi bahut raaz hote hain

Mere in jaagti aankhon mein bhi ab na jaane kitne khwaab hote hain

Samajh mein aagaya hai ki yeh jaruri nahi kewal gam mein aansoo aate hain

Ab main jab bhi muskurana chahta hoon toh aankhon mein sailaab hote hain

Main ne yeh soch liya hai ki aansoo jo bah rahe hai unko ab bahne do

Yeh toh toote huye dil ki baat kah rahe hain inko bhi toh kah lene do

Bahut dukh se bhara hai mera  jigar par isko apne tak hi rahne do

Mila tha bahut sukh mujhko unke pyaar mein par ab dukh sahne do

Mere dil ne kah dala apna haal ab mujhko apna daastaan kahne do

Koi sune ya na sune iska fikar kisko hai ab dil rota hai toh rone do

 

img56.jpg

 

Sambhal jaawo Lakhan ab yunhi beasabab roya na karo

Unki judaai ko sahkar kabhi kabhi unke saath raha karo

Teri mehbooba ek ghazal ki sachi kitaab thi use yaad karo

Agar gana nahi aata hai toh chupke chupke padha karo

Tumko achhi lagegi geet sangeet aur ghazal suna karo

Jo suna nahin wo kaha karo jo kaha nahi wo suna karo

Sabhi badalta mausam unki yaad dilata rahega

Tumko unka saath hone ka yehsaas dilaata rahega

Chaahe shardi ho ya garmi yaad toh taaja rehega

Sab din tumko unka pyaar dil mein jagaata rahega

Raaton ko khamosh si baaten unka yaad dilayega

Aysa sab lamha tere dil ke ahsaas ko choo jayega

Ayse mein na jaane tu bhi khamosh kayse rahega 

Yeh sab tera dukh ka kala baadal door hat jayega  

Agar tu haar maan lega toh tera haar ho jaayega

Agar thaan le ki teri jeet hogi tera jeet ho jayega

 

img57.jpg

 

Wo toh tera vywohaar hi hai jo teri chhabi doosaron ke mann mein banata rahega

Is ke jariye tu apne dukh door karega aur dusmano ko bhi apna banayega

 

img15.jpg

 

Main kai baar apne dil ki tasveer banane ki puri koshish karta raha

Itfaaq mein ek din apne dil ki ek bahut hi sundar tasveer bana diya

Us mein ek chota sa darwaaja rakha lekin maine koi handle nahin lagaya

Poochhne par maine bataaya,” mere dil ka darwaaja ab andar se khulega” .

 

img15.jpg

 

MAR JAAWUNGA TUMKO MANAANE KE LIYE

Jab hamne kalam uthaayi thi toh hamko uchit lafz nahi milta tha

Jab zikar mohabbat ki chhidi toh haalaat ne ek kavi bana diya tha

Pyaar mila ikrar hua phir judaai mili par ab toh unki hi khoj hai

Phirta hoon beete huye jamaane ki talaash mein jo kho gaya  hai

Yeh ham bhi ganwaara karte hain aur unko bhi gawaara karna padega

Hans hans ke jo gujzari thi jeewan ab toh ro ro ke sahanaa padega

Jab unki yaad aati hai toh betaabi badh jaati hai neend na aati hai

Lekin jab doob jaata hoon unki madhur yaad mein toh sukoon milta hai

Jis waqt mera janaaza yahaan se niklega wo ek khushi ka maahaul hoga

Doston apne jazbaat pe kaabu rakhna kyunki hamara unse punar milan hoga

Abhi jo aansoo bah rahen hain unko main wayse bahne hi deta hoon

Yeh toh kah rahen hain mere dil ki baat inko kah lene deta hoon

 Kya milaa hamko tumhe chaahne ke baad bas dukh hi sah rahen hain

Tumto sukh ki neend so rahi ho lekin mujhe apne daastan kahne hain

 

Tum shayad hansti ho wahan ab mujhko bhi yahan hansaane ke liye

Par kya tum bhi kabhi apne chaman mein roti hogi hamko rulaane ke liye

Tumto jayse rooth ke chali gayi ho ab main kya karoon tumhe manaane ke liye

Paas aake phir se rooth kar dekho main bhi mar jaawunga tumko manaane ke liye.

Laakh manaataa hoon apne dil ko par wo jalim maantaa hi nahin hai

Har pal tumko hi dhoondhata hai par ab toh tumhara koi pataa nahin hai

Bas tumhare yaadon ko liye jee rahen hain aur koi chaaraa nahin hai

Na hamko kisi ki jaroorat hai ab tumhaare jaysa koi nazaaraa nahin hai

2nd January 2015

 

img58.jpg

 

 

TERE AANCHAL MEIN SAR CHHUPA LETA HOON

Jab praan tumhare tan se nikla kitna dukh diya tha tumne hamko

Tumhari yaadon ne hamko rulaaya, sataaya aur nirdhan kar diya hamko

Ab to baat bea baat meri aankh chhalak jati hai dil ro padataa hai

Tera diwaanaa apne chehere ko apne baajuwon mein chhupa leta hai

Yaad karta hoon ab na jaane kai baar din raat main lagataar tumko

Naam tera apne hathelee par likhtaa hoon aur phir mita deta hoon usko

Jab bhi koi tera zikr karta hai mera dil sheene mein cheekh padta hai

Aankhon mein aansoo aajaate hain aur sara badan kaamp uthta hai

Neend aati hai aur lakhon sapne laati hai jo dil dimag ko jalaati hai

Tere takiye ko apne seene se laga leta hoon jab teri yaad aajaati hai

Ho ke behaal chauk kar uthta hoon toh tere tasveer ko choom leta hoon

Koi poochhtaa hai haal mera toh main tere aanchal mein sar chhupa leta hoon.

 

img15.jpg

 

 

AUR KISI SE KYA KAAM

Apne bageeche ke saare khiley phool tere hi naam kar diya hai

Yahaan ka har subhah ka pahela kiran bas tere naam kar diya hai

Tu meri yaad ki baheti dariya hai mere jheel ke kamal tere naam

Jitney bhi tere khwaab aate hain un sab ka har ek pal tere naam

Ab tere bina jo umar beet rahi hai us umar ka baaki hissa tere naam

Mere jine ka sahara teri madhur yaaden hain aur kisi se kya kaam

Tere saason ki har garam hawa ko mahsoos karta hoon har subah sham

Tu aaye ya na aaye main toh tera hi intazaar karta hoon har subah sham

Kisi se kya kaam jab maine apna sab kuchh niuchhaawar kiya Saroj ke naam

Bade besabri se intazaar karta hoon kab padaarpan hoga mera unke dhaam.

 

 

img15.jpg