Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Rote Hain Ham

Jab unse mohabbat main karne laga tha tab sab uljhane door ho gayi thi

 Jab se wo hamse door ho gayi toh meri sab uljhane waapas aane lagi thi

Dheere dheere sahane ki shakti batora tab se apne dil ko mana liya hai

Yeh jeewan ishwar ki amulye uphaar hai ab isko vyarth gawaana nahin hai

Maine jawaani mein dua maangi thi aashiyaane ki par chal padi aandhiyan jamaane ki

Ab mere gham ko kaun samjhega jab meri dildaar hi nahin hai saath nibhaane ki

Ab dil kaheta raheta hai aankh se Lakhan tum ab dekha karo  kuchh kam

Unko dekhne ki chaahat se sada dukh hoga tadpoge tum tootega tera dam

Par aankh hai ki maanti nahin dil se kahti hai ki socho tum ab kam

Wo toh chain ki need so gayi hain tum kahte ho ki rote hain ham

Dil kahta hai ki ab apne ghamo ki is tarah yun numaaish nahin karo

Aankh kahta hai ki ab apne naseeb ki is tarah yun aajmaaish nahin karo

Dimaag kahta hai aanaa jaanaa is duniya ka dastoor hai soch nahin karo

Jo tera tha wo sada tera hi rahega usko paane ki khwaahish nahin karo

 

img15.jpg