Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

PYAR KI BAAT ADURI RAHTI

 

Aaj se aadhi sadi pahele agar do dil na milte to yeh prem Milan adhuri hi rahti

Mulakaat to ho jati jindgi ban bhi jaati magar pyar ki baat to adhoori hi rahti

Sukriya karoon main unke mere duniya mein aajaane se meri raunak badh gayi

Meri duniya soonsaan rahti aur meri pyaar ki mehfil to aaj bhi aduri hi rahti

Mere rishte ko pawitra roop diya aur mere dukh dard ko apnaa kar chali gayi

Mere ghar ke diwaaron pe lagi unki manbhawan tasveer gar mere saamne na rahti

Mere in taraste aankhon ke sabhi aansoo bahate rahte aur dil mein badi dard hoti

Mere is najuk dil mein agar unka jigar na dhadakta to unse itna mohabbat na hoti

Saath unka kabhi na chhotata hamaare mann mandir mein aaj bhi chaman hoti

Denewale ne khoob pyaar diya aur phir le bhi liya na jaane wo aysa kyun kiya

Hamare do dil na milte to yeh pyaar ka bandhan adura rahta yeh toone kya kiya

Aadhi sadi pahele gar Saroj aur Lakhan na milte to yeh prem Milan adhuri rahti

Mulakaat to ho jati jindgi ban bhi jaati magar pyar ki baat to adhoori hi rahti

 

14th March 2015

 

NA MILEGI AYSI MEHBOOBA

 

Kya bataawoon kya kya hua mere is jindgi ke saath

Unse mila khushi mili phir choot gaya unka saath

Chaand sa chehra tha unka dil mein pyar bhara tha

Aankhen thi laajawaab aur julf unka ghatawon sa tha

Koyal si unki boli thi badan pariyon se achchi lagti thi

Chaal haal aur dhang hiraniyon se bhi achhi lagti thi

Jab unke aankhon se kaliya khile aur aanchal lahraye

Dekhe jo mor unki in adaawon ko to naachna bhool jaye

Pachpan saalon se yeh pyar hamko bekhud bana rakha tha

Unke jaane ke baad ab bikhar gaya sab jo saja ke rakha tha

Un aankhon ke chhlakte jam ko ab dekh nahi sakta main

Tasveer unki dekh kar ab apne dil ko bahla leta hoon main

Itne sunahare yaaden hain ki unko bhoolna namumkin hai

In yaadon ko liye ab jee raha hoon aur koi chaara nahi hai

Intazaar us din ka hai jab ham bhi yahan se chale jaayenge

Unse phir se mil gaya jo to apne tadapte dil ko manayenge

Kudrat se dua karenge ki phir kabhi kisi se aysa pyar na ho

Na phir milegi aysi mehbooba jiske liye mera dil tadapta ho.

 

img15.jpg