Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Meri Duniya Ujadh Gai

 

Dukh takleef mein kab koi kisi ka yahan saath deta hai

Andhere raat mein toh apna saya bhi ham se juda rahta hai

Maut ko ek din aakhir aanaa hi hai usey aa jaane do

Agar aaj is virah ke samay aajaati toh bahut achhaa ho

Unko bhool na pata hoon ab main kya karoon aur kahan jawoon

Aaina saamney rakhta hoon ki din raat unko dekhta rahoon

Hoti nahin hai subah aur nahin aati hai ab neend mujh ko

Pukarta hoon tab unko jab koi aawaz na milta hai mujh ko

Yeh kayse kahoon parwar digaar se ki ab unko lauta de

Main jeeta rahunga agar wo jhuthi tasalli bhi de de

Hamare jayse ashiq ki raaten nahin katati hain is tanhai mein

Do chaar ghadi ro lete hain koi baaten na hoti tanhai mein

Apne dil ke viraane ka kya aur kayse jikr karoo

Meri duniyan hi ujadh ke lut gai ab main jeewoon ya maroo.

 

 

 

                       img17.jpg

 

Tumko Toh Yahi Jidd Hai Tumko Bhula Doon Magar

Dil Sey Tumhari Yaad Na Jaaye Toh Kya Karoon.