Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Ashq Kahan Se Laawoon

 

Aaj kal apne palang par karwate kyon badal rahe ho Lakhan

Abhi to tumhare dukh takleefon ki shuruaat hai hamsukhan

Albatta khushi ka naam to suntey aaye ho par yeh khushi kya hai

Itna dukh dard se gujarey ho tum ki ab nahin jaantey khushi kya hai

Is duniya ke chaman walo ab yeh chaman tum ko hi mubarak ho

Ghutata hai aankhon mein mere pritam ka bichhadna ab sukoon kayse ho

Jaata hoon unse milne bagiche mein toh ab wo bhi munh pher lete hain

Jahir hai ki unse hamari sabhi bebasi sahan na hote hain

Ab main kya sunaawoon apne dard mohabbat ka ye soonsaan maajara

Ab toh hadd ho gai ki un se meri koi shikayat bhi nahin raha

Dil karta hai unko paas bula ke seene mein chhupa ke rakh loon

Jaane wale se koi kayse poochhe main tujh ko kayse bhula doon

Lakhan ko raha hai waasta gham se abhi tak toh khushi kahan se laawoon

Saroj ke khushi ke naam se apne aankhon mein ashq kaha se laawoon.

 

img21.jpg