Mere Aatmaa Ki Pukaar-Chal Akela Chal by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

MAIN TADAPNE LAGTA

HOON

 

Kitne khwaab dekha tha apne jeewan mein

yeh khwab ki taabir hai

Ab hamare saamne khamoshi ki aalam hi hai

aur unki wahi tasveer hai 

Is kadar ab apne maathe ko ragadtaa hoon

apne is chaukhat par

Pal bhar mein mit jaati hai jo kuchh bhi likha

tha mere is foote takdeer par 

Ab jab bhi paas jaa ke baythta hoon main

apne bichhade huye hamnaam ke

Bas rah jaata hoon main unki surili baaten

sunte apnaa kaleja thaam ke

Ab jab bhi koi mera dost mere saamne unka

sunahara naam liya karta hai 

Tab tab mera yeh toota dil bechaara apne

sitamjada ko hi yaad karta hai 

Agar chale gaye ho to chaley jaawo shauk se

main kuchh nahin kahta hoon

Lekin jab baar baar mujhko yaad aate ho to

main yahan tadapne lagta hoon.

 

@

 

Ek baar phir unse miljaate to chahat ka

bharam mit jaata,

Dil ko chain miltaa aur mere tanhaai ko

sukoon aa jaata.