Mere Aatmaa Ki Pukaar-Chal Akela Chal by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

GHAR ZAMEEN NARAK BAN GAYI HAI

 

Unka chehara chaand tha aur aankhen sitare

thi,

Mera sara zameen phoolon ki swarg ban gayi

thi.

Jis din se mujhko unse mohabbat ho gayi thi,

Meri yeh duniya badi hi khoobsurat ho gayi

thi.

Unse milne ke baad roz unki pooja karta raha, 

Meri chahat unki chahat ho yeh dua mangta

raha.

Pyar mila jeewan safal hua yeh jindgi jannat

hua,

Unki har ek adaa se mera jeewan safar swarg

hua.

Bijli giri aur wo chali gayi mera unka saath

chhoota,

Kewal sunahare yaden rah gayi unka haanth

chhoota.

Kai dino se unko dekha nahi par koi fark nahi

padta hai,

Unki har ek jhalak dekhta hoon jab bhi subah

hoti hai.

Kahta rahta hoon ki chale aawo ek muddat ho

gayi hai,

Meri yeh duniya badi badsurat aur khamosh

ho gayi hai.

Unke chand si tasveer ko apne seene se laga

ke rakha hai,

Meri sari ghar zameen kaanton jaysi ek narak

ban gayi hai.

 

@

 

Kuch yaaden hum purani samshaan mein

chhoR aaye the

Aate aate unki ankho mein apni aansoo

choR aaye the

Yeh aisa gahera dard hai jo kabhi bayaan

ho nahi sakta,

Dil toh saath le aaye hain par dhadkan

wahin choR aaye the.

 

@

 

Maut ke aagosh mein so jaane ko jee karta

hai,

Dil to kho diya ab zindagi khone ko jee

karta hai

Unki yaad aati hai jab bhi mujhe na jane

kyon

Kahin pe tanha baith ke roney ko jee

karta hai..

 

@