A GLIMPSE OF 1959
BHULA DENA MUJHKO
(A poem found in the NTC Autograph booklet of Saroj of 1959)
Agar apne dil ke ek kone mein tu basa le
mujhko,
Main ho jaawoon tera gar tu apna bana le
mujhko.
Wafa ke naam pe main tera rahunga jeewan
bhar,
Teri saadgi par mit jaawoonga apne jeewan
bhar.
Apne aap ko main mita dunga gar tu na mili
mujhko,
Nacheez ka dil toot jayega agar na paaya
tujhko.
Sharab to sharab hai main jahar bhi pi
jaawunga,
Shart yahi hai ki tu thaam le baahon mein
mujhko.
Jata hoon safar pe apnese door na karma
mujhko,
Gar Lakhan ki yaad na aaye to bhula dena
mujhe,
Saroj ko bhulna namumkin hai ye maaloom
hai mujhe..
November 1959
Kavita sachi bhawnaawon ka ek chitran
hai
Aur sacchi bhawnaayen chaahe wo dukh
ki hai
Ya sukh ki, wo usi samay sampann hoti
hain
Jab ham dukh ya sukh ka anubhav karte
hain
(Munshi Premchand)