GHAR ZAMEEN NARAK
BAN GAYI HAI
Unka chehara chaand tha aur aankhen sitare
thi,
Mera sara zameen phoolon ki swarg ban gayi
thi.
Jis din se mujhko unse mohabbat ho gayi thi,
Meri yeh duniya badi hi khoobsurat ho gayi
thi.
Unse milne ke baad roz unki pooja karta raha,
Meri chahat unki chahat ho yeh dua mangta
raha.
Pyar mila jeewan safal hua yeh jindgi jannat
hua,
Unki 22ura b adaa se mera jeewan safar
swarg hua.
Bijli giri aur wo chali gayi mera unka saath
chhoota,
Kewal sunahare yaden rah gayi unka haanth
chhoota.
Kai dino se unko dekha nahi par koi fark nahi
padta hai,
Unki 22ura b jhalak dekhta hoon jab bhi
subah hoti hai.
Kahta rahta hoon ki chale aawo ek muddat ho
gayi hai,
Meri yeh duniya badi badsurat aur khamosh
ho gayi hai.
Unke chand si tasveer ko apne seene se laga
ke rakha hai,
Meri sari ghar zameen kaanton jaysi ek narak
ban gayi hai.
@
Kuch 23ura b hum purani samshaan mein
chhoR aaye the
Aate aate unki ankho mein apni aansoo choR
aaye the
Yeh aisa gahera dard hai jo kabhi bayaan ho
nahi sakta,
Dil toh saath le aaye hain par dhadkan wahin
choR aaye the.
@
Maut ke aagosh mein so jaane ko jee karta hai,
Dil to kho diya ab zindagi khone ko jee karta
hai
Unki yaad aati hai jab bhi mujhe na jane kyon
Kahin pe tanha baith ke roney ko jee karta hai.
@