Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

JAMAANE BEET GAYE

 

Koi hamko bataaye ki wo jawaab kyun na de

kar gayi,

Manjil yeh poochhti hai ki meri sanam kidhar

gayi.

Wo jo mere itna kareeb thi kyun uthkar chali

gayi,

Mere chehre ke sab chamakte rang uttar gayi.

Haalaat meri dekh ke khud yeh dil toot gayi,

Sab dil ki tamannaye mere dil mein hi rah

gayi.

Unki judaai se jigar mein ik kharoch se lag

gaye,

Lagta hai ki unse bichhde huye kai jamaane

beet gaye.

 

@

Aap khud nahin jaanti ho

ki aap kitni pyaari thi,

Jaan toh aap hamaari thi

jaan se bhi pyaari thi 

Ab duriyon ke hone se koi

fark nahin padta hai

Aap kal bhi hamaari thi

aur aaj bhi hamaari ho.