Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

SAATHI KAHAN GAYE

 

Jab wo hamare jindgi se uthkar guzar gaye,

Aysa laga ki yeh dil dimaag pe bijli gir gaye.

Ye naiya doob gayi koi tamanna nahin raha,

Dildaar jindgi ka jo mila tha who bhi guzar

gaya.

Haalat meri dekh kar apne bhi door ho gaye,

Mahsoos yeh huwa ki ab sabhi matlabi ho

gaye.

Koi hamko batade ab ham kya jawaab paye,

Manjil ab poochhti hai ki saathi kahan gaye.

Jab wo hamare jindgi se uthkar guzar gaye,

Aysa laga ki yeh dil dimaag pe bijli gir gaye.

 

@

Jab se unka naam is dil ke panne par likh

gaya hai,

Ek bada pyara sa suroor dil mein hamne

paaya hai. 

Ye unke pyar ka ya unke judaai ka nasha

lagta hai, 

Ab har waqt hamko unka chehra hi nazar aata

hai.