Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

AYSI KABHI NA DEKHI

HAI

 

Ham ne duniya dekhi hai lekin aysi nahi dekhi

hai,

Jo aaj ham pe beet rahi waysi kabhi na dekhi

hai.

Hamko rimjhim barasne waali barkha nahin

samjho,

Duniya dekhlene ke baad ek aag ka dariya

samjho.

Ye to majboori hai apne aap mein jalta hoon

main,

Wo paani kahan hai jis se yeh aag bujhawoon

main.

Kudrat ne dia 66ura b sab neematen hamko

yahan,

Barbaad kar ke rakh di hamne ab jaawoon

kahan.

Ab kisi baat ko bura main hargiz nahin 66ura

hoon,

Jis cheez ke liye tarasta wo ab paataa nahin

hoon.

Jo bhi kahena chahata hoon kah deta hoon

kisi se,

Na kisi se pyar hai na karta hoon dushmani

kisi se.

Jaane kyun mera haal puchhte hain log baar

baar,

Bahot achha hoon yeh jhooth kah chukka

hoon baar baar.

Dar hai dosto ki dusmani se ya dusmano ki

dosti se,

Jaane kayse nikal aaya main bachh ke wo

mukti se.

Kadam dagmagate hain ab raah deekhta

nahin hai,

Duniya ko maro goli ab apni tabiyat achhi

nahin hai.

Ham ne duniya dekhi hai lekin aysi nahin

dekhi hai,

Jo aaj ham pe beet rahi waysi kabhi na dekhi

hai.

 

@

 

Har taaron bhari chaandni mein barsaat buri

lagti hai,

Ayse mein kisi gayr ki har baat bhi bahut buri

lagti hai.

Jindagi mein sab kuchh mere nazar ke saamne

rahti hai,

Jab apna dilbar hi na ho paas to har cheez buri

 

lagti hai.