KAYSE GUJREGI YE
JINDAGI
Jabse mere aansuwon ne mere nazron mein
jagah bana li hai,
Main usi din se apni yeh jindagi ko tanhaai
mein guzaar li hai.
Unse juda huwa to ayse huwa ki ab fir kabhi
milna nahin hai,
Poori ho kar bhi poori na ho saki yeh to koi
jindagi nahin hai.
Ab mujhse jayse naaraz mera mahboob hai ab
main kya karoon?
Jo hamare itna kareeb tha bichhad gaya to ab
main kya karoon?
Rab jaane wo kyun mujhko tanha kar gayi ab
main kya karoon?
Is khaali khaali dil mein ek bada dard basaa
liya ab kya karoon?
Sab dard ki dawa hoti hai par main apne is
dard ko kya karoon?
Ayse hi sahata rahoon, koi dawa karoon, ya fir
kuchh na karoon.
Hamara wo suhana safar jindagi ka
khushiyon se bhara rahta tha,
Jo aaj bikhar ke choor ho gaya jo har waqt
chaman mein rahta tha.
Achaanak bhatak gaya hai wo dil jo har dam
achha bhala rahta tha,
Ab kayse bina unke gujaregi ye jindagi jisko
mein mauj karta tha.
Baat maan le Lakhan jeewan ke safar mein
aysa hi hota hai,
Yahan pe har raahi milta to hai par fir wo bhi
ek din bichhad jaata hai.
@
Tab aur ab ki jindagi mein jameen aasmaan ka
fark ho gaya hai,
Tab unse pyar ki baaten hoti thi ab unke
tasveer samne rahta hai.
Kabhi rakhte hain in aankhon mein kabhi is dil
mein sajaate hain,
Jab bhi gahri yaaden sataati hai unki tasveer
lekar baat karte hain.
@
Yeh to jaahir hai ki aaj ham akele hi rah gaye
Judaai ke dukhde sabhi dil mein hi rah gaye
Socha tha ki wo jeewan bhar mera saath degi
Jinko saath dena tha wo bichadne ko kah gayi