APNE AACHARAN KO KYA
KAROON
Ek wo bhi manjar tha jab main khushiyon se
jhoom kar hansta tha,
Par aaj ka yeh halat dekho main dukhon ke
panah mein rota hoon.
Yeh ek silsila mere tanhai ka hai, wo bhi
silsila mere jindagi ka tha,
Tab main bharosa karke hansta tha aaj
bharosa kar ke rota hoon.
Bichad ke sanam se meri yeh jindagi merI ek
saja lagti hai,
Yeh jindagi ki har saans ab mere liye mujhse
bahut khafa lagti hai.
Jitni bhi ummeeden thi ab bewafa ho gai hain
ab main kya karoon?
Koi saadhan nahi hai yahan chahe laakh
saadhana karta rahoon.
Aage badhoon ya yahin thahar jaawoon iski
koi pata nahi lagti hai,
Chalta hoon to ruk jaata hoon aage koi raasta
nahin hai.
Saroj Niwaas mein rahta hoon apne bhawana
ko kya karoon?
Lakhan tadapta rahta hai ab apne tanhaii ko
kya karoon?