When The Going Gets Tough, The Tough Gets Going by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Ham Unka Hi Ibaadat

Karte Hain

 

Muddat hui hamne dekhi thi unki aankhon

mein ek jhalakti chamak

Un mein ek mahekti khushboo thi chand

taaron si lahraati chamak

Honthon se chhune ki chaahat thi dil

mein basaane ki izaazat thi

Unki madbhari aankhon mein kho jaane ki

meri ek hi tamanna thi

Hamara pyaar ek ehsaas tha jisko hamne

dil se mahsoos kiya tha

Apne pyaar ko pyaar hi rahne diya tha

use koi naam nahin diya tha

Ham saath hue aur hamne ek dooje ke

haanthon mein haanth de diya

Pyaar pawitr rishte mein badal gaye aur

hamne unko apna dil de diya

Tab pata chala ki sache pyaar mein koi

bol nahin koi aawaaz nahin

Yeh ek seene mein lagi aag hai jo bujhti

nahin na thaharti hai kahin

 

Jab tak saans hai tab tak aas hai yeh

sadiyon tak bahaa karti hai

Yeh ek gahari ehsaas hai jo sirf hamaari

ruuh hi mahsoos karti hai

Jindgi chalti rahti hai pyaar ki safar

muskarahaton se khilli rahti thi

Samay chalta raha aur hamari ye pyaar ki

bandhan nikhar rahi thi

Jab ham apne pyaar ke choti pe kadam

rakhe to ek bijli si gir padi

Meri mehbooba ki audhi yahan puri hui

aur wo hamse juda ho ke chal padi

Main apne pyaar ko pyaar hi rahane diya

koi aur naam bhi na diya

Kaanpte honth khamosh rahe aur koi

afsaana bhi nahin karne diya

Isi ko ham pyaar kahte hain sirf ehsaas

karke mahsoos karte hain

Unke chale jaane ke baad ab ham kewal

unka hi ibaadat karte hain.

 

img15.png