When The Going Gets Tough, The Tough Gets Going by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

MAIN TADAPNE LAGTA HOON

 

Kitne khwaab dekha tha jeewan mein yah

khwaab ki tabeer hai

Ab mere saamne alam E khamoshi hai

aur unki tasveer hai 

Is kadar ab apne maathe ko ragadta hoon

apne chaukhat par

Pal bhar mein mitt jaati hai job hi likha

that mere takdeer par 

Jab bhi paas ja ke baythta hoon main

apne bichhde hamnaam ke

Rah jaata hoon main unki baaten sunte

apna kaleza thaam ke 

Ab jab bhi koi mere saamne unka naam

liya karta hai 

Mera dil bechaara apne sitamjada ko hi

yaad karta hai 

Gar chale gaye ho chale jawo shouk se

main kuchh nahin kahta hoon

Lekin jab baar baar yaad aate ho to main

tadapne lagta hoon.