SADME AAG LAGA
RAHIN HAIN
Ya rab aysa karde ki kisi se koi apna dil
na lagaaye yahan
Mujhko nahi pata kis dil se bayaan
karoon apna maajra yahan
Yeh dil pagal hai chaahata hai wahi
khoobsurat din raat
Yeh to namumkin hai kyunki sab par
guzarti hai yeh baat
Aaj tak koi marham na bana hai jo is dard
ki dawa ho jaaye
Kabhi nahi dabta hai aysa dard dabane se
aur bhi ubhar jaaye
Yun tadapta rahega yeh dil unke viyog
mein ab sab din
Parwar digaar chaahe to mere mizaaz ko
khush rakkhe sab din
Hota kahan hai wo jo ham chaahaten
hain is jahaan mein
Laakhon kisam ke sadme aag laga rahin
hain is nanhe jaan mein.