When The Going Gets Tough, The Tough Gets Going by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

HAKIKAT SAMJHAYI

NAHIN JAATI HAI

 

Jab ab apne diwaar ke aayine mein

dekhta hoon apni tasveer ko

To aata hai unka khayaal choom leta

hoon us tasveer ko

Kabhi kabhi banata hoon unki tasveer

apne aayine mein main

Jab dil ro padta hai to usko phir se mita

deta hoon main

Dekhne wale log yeh sab dekh kar kahten

hain bekarar mujhko

Hamare pyar se anjaan log kahte hain

kiske wade par intzaar hai tujhko 

Dil ki duniya luta ke baythe hain aur na

sataawo ki ham sataaye huye hain

Jo kuchh poochhna hai ishare se

poochho meri jubaan kah rahi hain

Itna likh diya lekin mohabbat ki alfaaz ab

jubaan par nahin aati hai

Meri job hi nazuk hakikat hai usko

samjhai nahin jaati hai

Jab log kahten hain ki sache mohabbat

mein asar hota hai 

Main poochhta hoon kaun se shahar mein

hota hai kidhar hota hai

Mujhko yakeen hai ham phir se milenge

kahin na kahin

Kuchh aur din intzaar sahi jee bhar ke

abhi unko dekha nahin.

 

 img45.png

 img61.png