When The Going Gets Tough, The Tough Gets Going by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

EPILOGUE

 

Dil ke saath saath hamko dimag ka bhi

istemal karna padta hai. Bahar jo bhi

kuchh hota rahta hai, chahe khushi ho ya

dard ho, usko ham sahaj mein dekh sakte

hain par jo hamare mann ke andar hota

rahta hai usko dekhne ke liye aur bahar

laane ke liye dil dimag aur na jaane kitne

gunno ki aawashyakta padti hai. 

Pahla toh mann ke andar wale dukh dard

ko bahar lana bahut mushkil hota hai aur

dosara jab wo sab dukh dard aansoo ban

kar aankhon sey bahne lagte hain tab

gayron ho inn ka ehsaas hota hai. Par tab

bahut der ho chuki hoti hai. Mere jayse

Dukhi  vyakti ka sab kuchh ujjad jata hai

aur wah apne tanhaayiyon mein khota

chala jata hai. Koi chah kar bhi uska

sahara nahi ban sakta hai. 

 

Mere sajni ke bichhoh ka dukh dard ke

liye koi aur mere tarah matam toh nahi

mana sakta hai aure na hi mere tarah

aansoo hi baha sakta hai par agar

koshish karey to mere dard ko

pahechaan to saktey hain. 

Lekin aysa log kyun karenge? Is liye aaj

tak hamne apno ko bhi apna na kaha

unke chale jaane ke baad kyunki koi

doosari Saroj is duniya mein kabhi bhi

nahi avatar li thi aur na hi fir se legi.

Unke intzaar mein unka Lakhan unka

ibaadat karta hai.

 

Saroj var Ram Lakhan Ki Jay.

 

img69.jpg