1
Wo jo jeewan bhar mere
kareeb thi ek din mudd kar
guzar gayi
Kuchh khaas aysa hua ki meri
sari jindgi ek dam badal gayi
Ab to mujhe dukh ke sagar
mein doobne ki tamanna bhi na
rah gayi
Tufaan anek aaten hain jindgi
mein jo aati hain wo bhi guzar
gayi.
2
Yeh tajurba bhi karoon yeh bhi
gham uthaawoon main
ke khudko yaad rakkhoon ya
unko bhool jaawoon main.
3
Ab to shabnam se bhi haath jal
jaata hai to aag se kyun
daroon,
Phoolon se bhi ab ghayal ho
jaata hoon kaanton ko kya
karoon,
Hamare is jeewan mein ab do
hi raasten nazar aaten hain,
Ayse tanhai mein rah lete
hain ya ghayal ho jaaten hain.
4
Dard duniya ne diye jakham
sahane ke liye
Ham mile the tumhe dost
banane ke liye
Unse phir mil jaata apni
chaahat ke liye
Mil jaawo phir hamko khush
karne ke liye.
5
Aayi thi idhar bahaaren wo
udhar chali gayi
Abaad karne aayi thi barbaad
kar gayi
Jab tha unka sangam to koi
gham nahi rahi
Jab hosh aagaya to meri jaan
nikal gayi
Behisaab gham hai meri
tanhaai aa gayi
Har pal dhoonthata hoon meri
Rani kahan gayi.
6
Lafzon ki tarha mujh se tum
kitaabon mein milaa karo
Logon ka tujhe dar hai to
khawabon mein mila karo
Phoolon se to khushboo ka
taluk hai zaruri,
Tum mujhse mehak banke
gulabon mein mila karo
Surahi ko main chhu kar tujhe
mehsoos karunga
Masti ki tarha mujh ko
sharabon mein mila karo
Main bhi hoon insaan mujh ko
bahakne ka bhi dar hai
Is waaste tum mujh se hijabon
mein mila karo.
7
Sabhi muskurahat ko ham muskan
nahi kahte
Nafrat ho ya mohabbat ye aasan
nahi hote
Aansu khushi ke gham ke hote hain
ek jaise
In aansuon ki yahan koi pehchan
nahi rahte
Hote hai is jahan mein chehre bhi
ek jaise
Ghunghat bhi ek jaise, sehre bhi ek
jaise
Sab jaanti hai nazrein, pehchaan
bhi hoti
Apni parayi surat aajkal anjan nahi
hoti
Kya cheez hai yeh dil bhi, ho jaye
jab akela
Rehta hai saath iske yadon ka ek
jhamela
Duniya bhi chhoot jaye, har aas
toot jati
Mehfil kabhi bhi yeh dil ki viran nahi
hoti.
8
Sheesha chaahe toot bhi jaaye
dil na kisi ka tootne paaye
Sheesha kahin mil jayega
dil nahi jo bazaar me mil jaaye
Yeh nahi wo phool jo phir
baagh mein khil jaaye
Khilta nahi wo phool jo ek baar
murjha jaaye
Thehro to zara main hosh mein
aa jaawoon
Tukdey apne dil ke chun ke
utha laawoon
Na koi tukda ho jo unko kahin
chubh jaaye
Sheesha chaahe toot bhi jaaye
dil na unka tootne paaye
Rukiye to zara sa main khud ko
sambhaal loon
Aisa na ho kahin main apni
jaan ganwa doon
Bas hamko to ab unka hi rehta
hai gham
Apna kya hai, ab rahein ya na
rahein ham
Sheesha to phoot gaya ab dil
bhi toot jaaye
Khata to meri hai ilzaam unpe
nahi aa jaaye.
9
Jameen kharid sakta hoon
aasmaan kharid sakta hoon
Mil jaaye meri Jaan phir to
duniyaa kharid sakta hoon.
10
Khushiyan aur gham saheti
hain phir bhi chupp rahti hai
Ab tak kisi ne na jaana yeh
zindagi kya kahti hai
Apni kabhi to kabhi ajnabee
ban kar rahti hai
Aansoon kabhi to kabhi hansi
bhi deti hai
Dariya kabhi to kabhi saagar si
lagti hai
Dil se kaho aur dil ki suno yeh
yahi kahti hai
Manmeet apna koi apna pyara
chunlo tum
Kuch bhi kahe duniya, duniya
ko chhordo tum
Palkon mein unko bithaake
jhilmil sapnay dekho tum
Khushiyon aur ghamo ko
jindagi bana ke rakkho tum.
11
Meri taqdeer mein jalna hai to
jal jaaunga
Kisi ka wada to nahi hoon jo
badal jaaunga
Aag bhar do mere seene mein
gham E ulfat ka
Main koi mom to nahi hoon jo
pigal jaaunga
Dard itna hai ke ghabrake sab
E furkat mein
Aah bankar tere pehalu se
nikal jaaunga
Mujhko samjhao na sahil main
khud samajh jaaunga
Main ek din khud hi Thokare
khake sambhal jaaunga.
12
Koi aysi hawa to chal jaati is
pedh ke patte to hil jaate
Yahan kaun apna hai kaun
paraya yeh pata to chal jaate
Kitne sitam aayengi kisi ki
karengi nahi bhala
Aur bhi hoga bura kuchh din
yeh silsila jo chala
Hamari manjilein khud karib
aayengi jara sabre to karle
Ay mere doston ayse hi ab
mera kafila to chale
Chahe sahar ho ya koi gawn ya
ghar hi apna rahe
Aabodaana hi jab uth jaaye to
yahan apna kawn kahe
Is liye har kisi se jhoom ke
mila karo ye jahaan wale
Yahaan kaun apna hai kaun
paraya kuchh pata to chale.
13
Sab ko is duniyan mein sab
kuchh nahi milta,
Sagar ki har badi leharon ko
saahil nahi milta,
Yeh duniya to dil walo ka bazaar
hai khilta,
Kisi se dil nahi milta to koi dil
se nahi milta
Main dilruba se dilse mila aur wo
dil se mili
Ab wo chali gayi to marne pe
meri aankh rahegi khuli
Aysa na ho ki ham jab fir mil
jaayen to dhokha ho
Dekh ke ek dooje ko hamari phir
pehchaan ho.