14
Mehnat lagti hain sapno ko sach
banaane mein,
Housla laga tha hamko un
bulandion ko paane mein,
Hamko barso lag gaye the apni
zindagi banaane mein,
Zindagi fir bhi kam pad gayi yeh
rishte nibhaane mein.
15
Humko waqt aur guru dono
sikhaate rahte hain,
Par un dono sikhane waalo mein
itna sa farq hai,
Hamara Guru to hamko sikhaa
ke imtihaan leta hai
Par yeh waqt jalim imtihaan
lekar hi sikhaata hai.
16
Mohabbat mein har ek ka
maqsad ek hi hota hai
Khud chahe wo kitne hi bewafa
kyun na hota hai
Lekin talash wo hamesha
wafadaar ka hi karta hai
Yahan to wafadaar ke bhesh
mein bewafa bhi milta hai.
17
Chhoti chhoti si baaton pe ham
log rooth jaate the,
Hamaare haath unse anjaane
mein chhoot jaate the
Mere liye bade najuk the wo
apnepan ke sabhi rishte
Hamne dekha hai ki haste haste
bhi dil toot jaate the.
18
Waqt aur samajhdaari ye dono
ek saath khush kismat logo ko
hi milte hain
Kyun ki aksar waqt pe samajh
nahi aati aur samajh aane tak
yahan waqt nahi hain.
19
Apne buland ummeedon se mat
fislo kabhi koi tumko uthaane
waala nahin hai,
Yeh soch ke bhari dariya mein
na koodo koi tumko bachaane
waala nahin hai.
Yeh saari duniya to ek adda hai
sabhi prakaar ke tamaasgiron ka
jagah hai,
Agar dekhenge tumko musibat
mein to har koi yahan majaa hi
leta hai.
20
Aajkal haanth mein mere mera
kalam ka aanaa suhaana lagtaa
hai
Dil aur dimaag par mere jo jahar
bhara hai un ko ugalna aa jaata
hai
Tanhaai ne hamko mazboor kar
diya warna jo yeh kalam likhta
hai
Mere padhne waalon ko bhi uska
bojh uthaana achha lagne lagta
Hai.
21
Aaj kal mausam mein kuchh
rimjhim to hai magar wo saawan
gayab hai
Mujh mein kuchh bachhon ka
sulook hai par mera bachpana
gaayab hai
Na jaane kaysi taaseer is
jamaane ke logo ki ho gayi hai
Hamaare log hamko apna to
maante hain magar apnapan
gaayab hai.
22
Chaahe waqt ki kadi dhoop ho ya
aandhiyon ki tez bayaare hain
Ham kuchh apne puraane kadmon
ke nisaan nahin kho sakte hain
Jin ko har waqt yaad kar kar ke
yeh aankhen muskuraati hain
Wayse madhur saathi door ho kar
bhi kabhi door nahin hote hain.
23
Jis din is dharti par hamaare
mullon ke maszid mein Raam
nazar aayega
Aur jis din Hamaare purohiton ke
mandir mein Rahmaan nazar
aayega
Us din yeh dharti ek jannat ban
jaayegi aur ek bada karishma ho
jaayega
Kyun ki is duniya ke har insaan ko
insaan mein insaan nazar aa
jaayega.
24
Hamare raste kitne bhi saaf
suthare hon unmein dhool to
aahi jaati hai
Chaahe ham kitna bhi hoshiyaar
hon ham sab se bhool to ho hi
jaati hai
Is liye main jindagi mein har
kisi ko yahi ahmiyat deta hi
rahta hoon
Jo achhe hain unka saath deta
hoon bure logon se sabak seekh
leta hoon.
25
Mohabbat karne wale zindgi bhar
kuch nahi kahete hai
Bewafa aavaz karta hai par wafa
kuchh nahi kehta hai.
26
Wafa ki sahi keemat yahan lagai
nahi jaati
Hamse apni chahat chhupayi
nahin jaati,
Mohabbat karne wale bahut hain
par sabko pyar nahin aati
Hamein is kadar hai mohabbat
unse,unki khata batayi nahin
jaati.
27
Dil toot gaya hai par koi khanak
nahi hogi,
Har dhadkan roti hai par ye
palak nahi roti,
Meri mohabbat naam hai kudrat
ki bandagi ki,
Jo koi sharto pe milte woh
mohbbat nahi hoti.
28
Is kadar ham unki mohabbat
mein kho gaye,
Ki ek nazar dekha aur bas unhi
ke hi ho gaye,
Aankh khuli to andhera tha
dekha ki wo sapne the,
Aankh band ki to unhi sapno
mein phir se kho gaye.
29
Ishq Tujse Karta Hu Main
Zindagi Se Bhi Jyada,
Main Darta Nahi Maut Se Teri
Judaai Se Jyada,
Chahe Tu Aajmaale Muje Kisi
Aur Se Jyada,
Meri Zindagi Mein Kuch Nahi
Teri Pyar Se Jyada.
30
Usne ham se poochha pyar kya
hai?
Maine kaanto pe chal ke bataa
diya,
Poochha, Kitna pyar karte ho
mujhko?
Maine pura aasman dikha diya,
Poochha, Kayse rakhoge is pyar
ko?
Maine mehkta hua gulab dikha
diya,
Poochha, Kayse rahoge bina
mere saath?
Maine zameen par unka saaya
dikha diya.
31
Chehre mein unke sirf meri hi
noor thi,
Uske baad phir wo na kabhi
mujhse door thi,
Jara soch ke dekha to phir
kitna khushi mila,
Jab unke maang mein mere
naam ki sindoor thi.
32
Mohabbat hamari mukaddar thi
koi khwab nahi,
Ye wo ada hai jisme sab log
kaamyab nahi,
Jinhe kushi mili unko ungliyo
par gin lo sahi,
Jo mere tarah barbad huye
unka to koi hisab nahi.
33
Ab to sukhe patton se bhi pyar
kar leta hoon,
Ab to unke parchhain se bhi
ikrar kar leta hoon.
Ab unko kahin raaste mein
dekh leta hoon,
Marte dum tak ham unka intzar
kar leta hoon.
34
Ab to intezaar ki aadat si ho
gayi hai,
Tanhai ki ab ek muddat si ho
gayi hai,
Na shikwa na shikayat karne ki
zaroorat hai
Kyunki ab is tanhai se
mohabbat si ho gayi hai.
35
Hamara pyar sabdon ka mohtaj
nahi rahta tha,
Dil mein unke pyar ka sada
raaj rahta tha,
Ham intezar nahi karte the koi
khaas din ka
Saal ka har din hamare pyar
ka haqdaar rahta tha.
36
Tanhaion mein ab unko hi yaad
karte hain,
Wo salamat rahein yahi fariyad
karte hain,
Hum unke hi mohabbat ka
intezaar karte hain,
Unko kya pata hum unse kitna
pyaar karte hain.
37
Ek Mohabbat Hai Aur Uss Ki Ek
Nishani Hai
Ek DiL Hai Jaise Koi Haweli
Purani Hai
Safar Raat Ka Hai Aur Raat Bhi
Tufani Hai
Samandar Hi Samandar Hai,
aur Kashti Bhi Doob Jaani Hai.
38
Ibteda-e-IshQ Se le kar Inteha-e-
IshQ Tak
Main Hi Tha Bewafa Aur Maine Hi
Wafa Nibhai Hai
Ab Main Laut Aaya Hoon Manzil Ko
Dekh Kar
Yahan To bas Yaadon Ki veerani Hi
veerani Hai
Yeh Intezaar Khatam Kyun Nahin
Hota Kis Se Poochoon,
Ye Manzil Mera Muqadar Hai, Yahi
Meri Adhoori Kahani Hai.
39
Najaane Kab Tak Ye Aankhen Uska
Intejar Karengi,
Uski Yaad Mein Kab Tak Khud Ko
Bekarar Karengi,
Usey To Ehsas Tak Nahi mere
Mohabbat Ka Yaaro,
Kab Tak Ye Dhadkane Uska Aitbaar
Karengi.
40
Humne dil diya wo mere pyar ki
hadd thi,
Jaan di wo mere aitbaar ki hadd
thi.
Mar gaye par khuli rahi yeh aankhe
meri,
Yeh to meri pyar aur intzaar ki
hadd thi.
41
Wo Sadak Ke Us Paar Thi
Hum Sadak Ke Is Paar The
Kuch Hum Aage Badhe,
Kuch wo Aage Badhin
Hum Kuch Aur Aage Badhe,
Wo Bhi Kuch Aur Aage Badhin
Hum Kuch Aur Aage Badhe,
Wo Bhi Kuch Aur Aage Badhin
Ab Hum Sadak Ke Us Paar The,
Aur wo Sadak Ke Is Paar Thi
Yahi hamare jeewan ki haal the
Ham idhar to wo udhar thi.
42
Zindagi Mein Hamesha Naye
Log Milenge,
Kahin jyada To Kahin Kam bhi
Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna
aaj ki sham
Mumkin hai Har Jagah Tumhe
Hum hi Milenge
Teri yaadon ke chiragon ko
jalaya har shaam,
Teri baato ko seene Se lagaya
har shaam,
Maangi Rab se teri khushiyon
ki duayein,
Tanha baith ke haatho ko
malte hain har shaam.
43
Chaha ke ye sara Aasma hamaara
hota,
Mere khwahishon ka bhi koi
kinaara hota,
Ye soch kar na Roka us musafir ko
humne,
Door jaata hi kyun agar wo
hamaara hota.
43(I)
Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar
Ubharta Hai,
Samandaron Hi Ke Lahre Mein Baat
Karta Hai
Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke Bujh
Gaye Hote,
Koi To Hai Jo Hawaawon Ke Par
Kaatata Hai
Sharaafaton Ki Yahaan Koi Ahmiyat
Hi Nahin,
Kisi Ka Kuchh Na Bigaado To Kaun
Darta Hai.
43 (ii)
Zameen Ki Kaisi Vaqaalat Ho Phir
bhi Nahin Chalti,
Jab Aasmaan Se Koi Faisla Utarta
Hai
Tum Aa Gaye Ho To Phir Chaandni
Si roshni milti,
Zamin Pe Chaand Kahaan Roz Roz
Utarta Hai.
44
Kisi insaan ka pehla pyar banjaana
koi badi baat nahi,
Banana hai to kisi ka akhri pyar
banawo to sahi
Mat socho ki tumse pehle wo kisi
aur ki thi,
Koshish karo usko phir kisi aur ki
zarurat na padi.
45
Geet to hum bhi gaaten agar wo
aavaaz hoti,
Baaja to hum bhi baja lete agar wo
saaz hoti.
Kya bas Shahjaha hi Taj Mahal
bana sakta hai,
Ham bhi to bana sakte the agar dil
mein koi Mumtaz hoti.
46
Kuchh Nahi Kehta Yeh Dil
Chupchaap Sa Rehta Hai,
Dard-E-Dil Itna Hai Ki Har Pal Ashq
Behta Hai,
Dekhta Hun Jab Bhi Kisi Toote
Huye Taare Ko,
Na Jaane Kyun Wo Kuchh Keh
Raha Sa Lagta Hai.
46(i)
Yeh Duniya Kyun Itni Matlabi Ban
Chuki Hai,
Rishto Se Jyada Ab Paise Pe Kyun
Tik jaati Hai,
Har Ek Saks Dil Ko Seeshe Ki Tarah
Pehle Todta Hai,
Jaroorat Padti Hai To Phir Kyun Ise
Jodne ki koshish karta Hai.
47
Main Alfaz Hoon Tera Har Baat
Samajhta Hoon,
Main Ehsas Hoon Tera har Jazbaat
Samajhta Hoon,
Jab Poochha Maine Ki Kyun Door
Ho Gayi Mujhse,
Main khud nahi jaanti aur kuchh
nahin Samajhti Hoon.
48
Apne Karam Se Wo Mera
Muqqaddar Bana Gayi,
Ek Qatre Ko Pal bhar Mein
Samundar Bana Gayi,
Phoolon Se Bhi Jyada Narm
Tha wo Dil unka,
Itna pyar kiya Ki hamko mom
Bana Gayi.
49
Tere liye dhadakta hai yeh dil
mera,
Tere liye hi jeeta hai yeh banda
tera
Phir bhi is dil ki dhadkan kyun
udaas hai,
Shayad dil mera yeh janta hai,
tere liye yeh khas hai.
50
Ek raat rab ne mere DIL se
poochha,
Tu apne pyar mein itna kyun
khoya hai,
Tab Dil bola unhon ne hi di hai
saari khushiya,
Ab unke pyar mein yeh dil
hamesha rota hai.
51
Nigahein Nigahon Se Mila Kar To
Dekho,
Jara Hamse Rishta Bana Kar To
Dekho,
Hasrate Dil Mein Dabane Se Kya
Faiyda,
Apne Honto Ko Hila Kar meri orr To
Dekho,
Aasman Simat Jayega Tumhare
Aagosh Mein,
Jara Chahat Ki Bahein Fayla Kar To
Dekho.
52
Bahot Khubsurat hai ye aankhe
tumhari,
Guzarish hai Isko bana do kismat
hamaari,
Hame is ke siwa kuchh nahi
chahiye is zindagi mein,
Agar mil jayegi ham ko wo
mohabbat tumhari.
53
Nigahon se wo is dil mein sama
gaye,
Jab ashk bahe to palko par aa
gaye,
Dar tha wo dusare duniya mein na
jaye,
Palko ko se aansoo bahenge agar
ham jhuk jaye.
54
Meelon ke faaslo mein bhi doori na
ho,
Baat koi aisi na ho aur majburi na
ho,
Meri tamanna thi hum Dost rahtein
umar bhar,
Aap bhi dua karna ye chahat meri
adhuri na ho.
55
Justaju hai meri tumhe phir se
paane ki,
Jarurat nahi hai ab kisi bhi bahaane
ki,
Door na raho mita do ye sabhi
duriyan,
Bas maan lo baat apne is diwaane
ki.
56
Woh ishq bhi kya gajab raha hoga,
Woh ishq bhi kya rang laaya hoga,
Saroj jis mein pyar ki putli huyi thi,
Lakhan jis mein diwaana raha hoga.
57
Duniya se hamko mile gham to
bahut hain,
In gamo se ankhein num bhi bahut
hain,
Kab ke marr jaate in ghamo ko sah
kar.
Par pyar ki duawon mein dum bhi
bahut hain.
58
Unse Door Rahoon Magar yeh bhi
Kaise
Haal-E-Dil Bhi Kahoon Magar yeh
bhi Kaise
Bahut Samjhaya Is Pagal Dil Ko Ay
Sanam
Dil Ko Mazboor Karoon Magar yeh
bhi Kaise
Kuchh To Kehti Hain Aankho Se
Woh Bhi
Woh Baat Kagaz Pe Likhoon Magar
wo bhi Kaise.
59
Mere Nazdeek Aa Ke Dekho Mere
Ehsaas Ki baat
Mera Dil Kitna Dharakta Hai Sirf
Tere Naam Ke Saath.
60
Dil aur Pyaar ki ladaayi ne mujhe
barbaad kar rakha hai,
Na to pyaar shikasht khata hai aur
na dil haar maanta hai.
61
Hum aapko dil hi dil mein chahte
rahenge,
Apne mohabbat ka ham izhar bhi
karenge.
Tum na aawoge sanam ye jaante
hain hum,
Phir bhi har mod pe aapka intezar
karenge.
62
Mohabbat mere liye ab woh haseen
gunaah hai,
Jise ab main chhup chhup ke karte
hai,
Mere mohabbat mein Intezaar to ab
wo saza hai,
Jo sirf yeh dil suchh mein karta hi
rahta hai.
Teri Khushi Se Nahi Gham Se Bhi
Rishta Hai Mera,
Tu Zindagi Ka Ek Anmol Hissa Hai
Mera,
Meri Mohabbat Sirf Lafzo Ki
Mohtaaz Nahi hai,
Teri Rooh Se mere Rooh Ka Rishta
ho gaya Hai.
63
Badi Mushkil Se Bana Hoon, Toot
Jane Ke Baad
Mai Aaj Bhi Ro Deta Hoon,
Muskurane Ke Baad
Tujhse Mohabbat Thi Mujhe
Beintihan dil E nashaad
Aksar Yeh Mehsus Hua Tere Jane
Ke Baad
Ab Tak Dhoondh Raha Hoon tujhe
tere jaane ke baad
Jo Nazar Se Kho Gayi Hai Nazar
Aane Ke Baad.
64
Logo Ne Kaha Ki Main Sharabi ho
gaya Hoon,
Maine Kaha Unki Ankhon ne hi Pila
di Hai,
Logo Ne Kaha Ki Mai Ashiq ho
gaya Hoon,
Maine Kaha Ashiqi Unho ne hi
Sikhayi Hai,
Logo Ne Kaha Tu Diwana shaayar
ban gaya Hai,
Maine Kaha Unki Mohabbat hi ab
Rang Lai Hai.
65
Har savaal mein ek jawaab chhipa
rehta hai,
Har baat me ek baat bhi chhipi
rehti hai.
Dhyaan se dekho to is dil mein
unka dil hai
Lekin ab ek anjaan sa dard chhipa
rakha hai.
65 (I)
Uska haal kya hoga Yahi gham
satata hai
Neend bhi nahi aati dard badhta
jata hai
Jindagi ki raho mein ab log hamse
khelte hain
Ek mein bhi tanha the sau mein bhi
akele hain.
65(ii)
Sona chahta hoon par neend nahi
aati hai,
Badal badal ke karwaten yun hi
raat guzar jati hai,
Kar bhi le pyaar ka izhaar ye meri
jaane jigar,
Akhir kyun tu ab mujhe itna
tadpasti rahti hai.
66
Pyar Ki ek Anokhi Murat thi meri
mehbooba
Zindagi Ki Ek Zaruat thi meri
mehbooba
Phool To Hote Hi Hain khoobsurat
aur azooba
Phoolo Se Bhi Khoobsurat thi meri
mehbooba.
67
Haan mera har lamha chura liya hai
aapne ,
Aakho ko ek chaand dekha diya hai
aapne ,
Hume zindagi di thi rab ne pyar diya
aapne ,
Par pyaar itna dekar jeena sikhaya
tha aapne.
68
Meri koi bhi Khata Pe Naraz Na
Hona,
Apni Pyari Si Muskaan Ko Kabhi Na
Khona,
Sukoon Milta Hai Aapki Hansi
Dekhkar janaa
Mujhe Maut Bhi Aajaye Tab Bhi Mat
Rona.
69
Kitab-E-Ishq Padhta Raha jindagi
bhar main
Ham dono ka Naam Usme Juda
dekha tha main