Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

HAM FANSE BEECH JANJAAL

 

Aaj pandrah August hai aur main khwab dekha jo mere khwab ki tabeer thi

Raat dhul chuki thi khamoshi ka aalam tha aankhon mein unki tasbeer thi

Paas aake baythi thi hamari preyetam kuchh baaten kahne ke liye taiyar thi

Main bhi aatur tha unki aawaj sunney ke liye tann mann sab taiyar thi

Kambakhat aankhon ne dhokha de diya meri yeh tamanna bhi na puri ho saki

Niraash rah gaya main apna kaleja thaam ke yeh khwahish bhi na puri ho saki

Main ne kah diya agar jaate ho to jaawo shaok se main kuchh nahin kahta hoon

Jaate jaate tum ek nazar apne betaab dil ko dekh lo main kah deta hoon

Abhi kal hi to kahte thea tum ki bistar se uttha jaata nahin hai pritam

Ab kahan se is duniya se utth jaane ki takat tumko aa gayi hai pritam

Apna munh modd kar jaate ho jara dekh toh lo apne diwaane ka haal

Ab mar raha hai idhar koi aashiq jiski tabiyat ho gayi hai behaal

Aaj ke bichhde kab milenge hamko nahin pata ham toh fanse beech janjaal.

 

 

img15.jpg