RUK JA WO JANE WALE
Mere dhyan mein, dil mein, in nigahon mein unki hi surat rahti hai
Ham ko ab na din ko chain milta hai na hi raaton ko sukoon milti hai
Ba yun hi jaagti rahti hai aksar is toote huye dil mein sunahare yaad unki
Aysa lagta hai koi kamsin bulbul sawan mein ghazal gaati hai mere mannki
Main ne unko dil diya tha rakhne ko par ab wo wapas kar ke chali gayi
Ab apne is toote dil ko le ke kya karoon jo hazaar tukdon mein bikhar gayi
Ab mere hi ghar mein meri sanam sataati hai hame hamari hi raajdaan bankar
Na jaane kyon ujjaad diya hai mere pyar ka bagiche mera hi baagbaan bankar
He bhagwan aap mera khayr rakhna yeh mere maatam ki badi manhoos ghadi hai
Abhi tak toh nibhaya hai aage bhi nibhate rahna meri toh puri umar padi hai
Ab is kadar ragadta hoon apna maatha tere dar pe takdeer bhi mit gayi hai
Kitna bhi tatbeer karta hoon lekin aaj tak unki madhur yaad nahin gayi hai
Us din tadap ke ro ro ke main ne apne Saroj se kaha tha ki ruk jawo
Unko chikitsa ke liye bheja tha par yeh na kaha tha ki ye duniya chhod jawo