Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

MITA LE TADAP MANKI

 

Baar baar kyon puchhte ho hale dil ye baat hai parde ki bataai nahin jaati

Dekh sakta hai bhala kaun ye dard ke aansoo behaal aati hai jab bhi aati

Unke paawn ke halke aahat se main samajh jaata hoon jab wo aajaate hain

Lekin koi aawaaj nahin hoti hai jab wo phir chupke se chale jaate hain

Unki hare k pyare ishare pe main jeewan bhar jhoomta chalta chala gaya

Na jaane main kitne pyar ke lahron se khelta hua lahra ke chalta gaya

Mere gali se jab nikla unka janaja mujhe dukh dard ka andaaza na tha

Unke maiyat se wapas aane par mere maatam ka koi bayaan hi na tha

Din nahin, raat nahin, subah nahin, shaam nahin ab haan ka kahin naam nahin hai

Is mareej ki halat kya puchhte ho jo unki saathi thi ab wo hi nahin hai

Kya haal hai Lakhan jayse dilea bekarar ka ab kisi se mat puchho dosto

Is mein unka koi kusoor nahin yeh sab mere takdeer ka lakeer hai dosto

Dil ko tadpaane lagi hai intzaari unki, yaad aati hai sab pyari baan unki

Jaane wale idhar bhi ek phool fenk do ham mita lenge yeh tadap apne mannki

 

img22.jpg

 

AAKHRI NUKHSA

 

Araj karta hoon chale aawo hame tumse bahut si baaten karni baaki hai

Tum bhi kuchh kaho main bhi kuchh kahoon kat jaayegi jindgi jo baki hai

Tujhko galey laga ke main tumse sawaal karoo tab sab malaal mitenge

Pata lag jaayega kaun sa rang hai dil ka aur kaun se dard mitenge

Tumko talaash karte karte jab ho jaawunga bechain, duniyan chhor dunga

Tumhari khoj band kar ke phir koi patthar pe apna sar patak dunga

Jab main tumhare paas aajaawoon toh muskura dena, haya se sar jhuka dena

Agar yeh bhi nahin ho sakey tumse toh phir se koi badi bijli gira dena

Shaayad isi ka naam pyar hai Lakhan ek aag si dhadhakti hai seene mein

Aanken fadak rahi hai, jeena tabah hai, lakhon kisam ke sadme hai seene mein

Suna tha jindgi jindadilli ka naam hai murda dil kya khaak jeete hain

Lakhan ab toh sambhal ja tujhe hua kya hai dekh aur log kayse jeete hain

Apni khamoshi chhor de us se musibat aur bhi sangeen hoti rahti hai

Yeh dil ki tadap chhor de tadapne se dil ki bimaari badhti rahti hai.