Jeewan Ho Jayega Paani
Is bhari duniyan mein koi din suhaani hoti hai koi din viraani lagti hai
Kabhi laakhon khushiyan aati hain aur kabhi takleefon ki pahaadh gir padti hai
Apne jeewan mein hamne kitne pyar ke din dekhe the apne sanam ke saath
Khushiyon ka thikaana na tha, aman chain ka mausam tha rahte the saath saath
Magroor ho ke chal rahe thea par mit gaya ek din wo chaman jis pe naaz tha
Hamare pyar ka sab fasaana suhana tha, wo meri raani thi main uska raja tha
Par kaash ab sab bikhar gayi hamare pyar ke dariya ab nahin hai koi rawaani
Lakhan ab do din ki teri yeh duniyan hai aur do din ki hai teri jindgaani
Tere Saroj ka toh beda paar ho gaya aur tere jigar ke liye hai hayraani
Mit jayega Lakhan tub hi ek din tumhara bhi jeewan ho jayega paani paani