Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Samay Chalta Raha

Tum Yaad Aati Rahi

 

Samay chalta raha aur yeh nazuk dil jalta raha

Par nahi aap aaye aur na tumhara sahara raha

Tumhari yaad aati rahi aur is dil ko dukhati rahi

Diwaaron pe lagi tasveer hamko roj rulaati rahi

Tumhare jaane ke baad ab koi hausla hi na raha

Jo bhi chah tha wah sab  ab dil hi mein rah gaya

Din mein hasta hoon toh raat mein ro leta hoon

Aankhon mein jo aansoo aaye toh pee leta hoon

Mujhko samajhne wali na rahi toh ab kya karoon

Is dil mein chhupey fasaane kisko sunaya karoon

Kahaan sey sukoon laawoon jo sukoon de hamko

Tumhare aanchal ka lahar nahin milta hai hamko

Un sabhi sunahare lamhon ki bahut yaad aati hai

Tumhare Lakhan ko uski Saroj ki yaad aati rahti hai

Samay chalta raha tumhari madhur yaad aati rahi

Kayse bhoolenge un yaadon ko jo dil ko jalati rahi

 

img15.jpg