Main Kya Karoon?
Bade mushkil sey pyar ki jindgi banaya tha
Apne pyaar ka maine aytbaar bhi kiya tha
Ye dil to pagal hai ab kyun bujh gaya hai
Mere jeewan ka saathi ab chala gaya hai
Kal raat mujhe ek aawaaz ne chauka diya
Poochha to kah diya, hamko pahchano piya
Ham ek dooje ke hamraz thea, hamrah bhi
Itna jaldi bhool gaye us pyar ka bandhan bhi
Kathin dard ki viraaniyan, yeh akela safar
Iss maahoul mein kya yaad aayega nazar
Jo yaad hai usko bhoolna aasaan nahin hai
Jo bhool gaya ab wo yaad aataa nahin hai
Mera haal kya poochhte ho apni to bata do
Ham pe kya gujarti hai jab tum hi nahin ho
Har raat ko aasmaan par taare ginata hoon
Neend aati nahin par ek khwab dekhta hoon
Ayse mein batado kya karoon kidhar jawoon
Jo dilwar hi nahin hai to dard kisko batawoon
Punar milan ki na aas hai na to tum paas ho
Ab main kya karoon jab tum yahan nahi ho
Haan ek guldasta sajaaya hai tumhare liye
Jis pe phool chadha deta hoon tumhare liye
Jab khila phool murjha jaye to dukh hota hai
Isi tarah tumhare jaane se bhi dard hota hai