Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Dil Ka Dard Kis Ko Dikhawoon

Ab dard dil kuchh kaha nahin jata aur chup bhi raha nahin jata

Yahi jeena bhi kya kam saja hai un ka sadma saha nahin jata

Mere chehre ke dukhi haal ko dekh ke dard ka andaaz laga lo yaro

Unke bichhad jane ke gham ko sahan karna bahut kathin hai yaro

Chal rahe thea isq ke rahon par ham lakhon dil mein tamanna liye huye

Unka saath chhoota toh aysa laga ki chalte hain badi bojh liye huye

Ham kisi se bhi chhupa na sake apne hasrate didaar ka sab raaz

Mere chhalakte aankhon ko dekh kar log pehchan gaye mere sab raaz

Is dil par giri hain na jaane kitni bijliyan jara gaur se dekho

Hamare aansuwon ke kadar keemat un chamakte huye sitaron se puchho 

Daag toh saykadon hain Lakhan ke dil par koi charcha ke layak nahin hai

Saroj hoti toh in daagon ko dikhati ab uski jarurat nahin hai.