Jannat Mein Tera Sammaan Ho
Tum mujh ko apne jannat mein na bulawo toh koi baat nahin hai
Main khud hi chala aawunga tum se milne gar koi gila nahin hai
Is chaman mein ab tufaan chalti hai bijliyan girti rahti hain
Yahan koi sukoon nahin hai tumhare bina sab soonsaan lagti hai
Main ne tumhare khoj mein na jane kitne baar jiya aur mar gaya
Akele tadapne mein koi lutf nahin phir bhi main tadapta rah gaya
Dil karta hai ki khat likhoon khoon jigar se par badi laachaari hai
Agar tumhara jawaab aajaaye toh wo bhi hamari ek bimaari hai
Kayse padhunga tumhare prem patra kayse sahunga tumhare dil ki lagan
Mumkin hai kuchh sukoon mil jaye ho jaaye aabaad yeh chaman
Lakhan ab kar le koi aysi jatan ki tere isq ka maan ho
Tumhari Saroj bhi rahe khush un ke jannat mein tera sammaan ho.
Tumbin kahin karar na aaye to kya karoon
Har pal tumhari yaad sataye to kya karoon