Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Tera Kaleja Kharoch De

 

Mujhe akela dekh kea aye log ghar mere, baythe bhi sahanubhooti bhi diya

Lekin kisi ne mol na poochha mere toote huye dil ka wapas chal diya

Is jamane mein kaun kisi ka saath deta hai sab ki toh apni dhun hai

Toota hua pyaala ko koi khareed kar kya karta us mein kaun gunn hai

Abhi tak toh bijliyon ka asar kewal tera aashiyan ujjaadaa hai

Kuchh der sabar kar Lakhan ye gham ke tufaan kitnon ka dil todda hai

Teri jindgi tamanna mein, ummeed mein, khushi mein aur mauj mein gujri hai

Aage aage dekhta ja teri udhasi aur gham tere aalam ke saathi hai

Tu sunnana chahta hai sab ko apne gham ke kissa par kaun sunega

Kahte kahte teri aankh bhar aayegi par jamane ko is se kya hoyega

Apni bigadti durdasha ko dekh kar apni jindgi sambhal le diwaane

Ab naye naye dhun ke ghazal gaata chal apne ye bache jeewan mein diwane

Chhedh de kuchh aysi taan jo tere tann mann ko khoob hila ke jhakjhor de

Tab milega silsila dil ka dil se yun ki tera kaleja kharoch de

 

img20.jpg