Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Saroj Ki Aahat Milti Hai

 

Abhi meri sab aas kahan tooti hai bhale meri khushi ham se door hai

Main abhi gham uthane ki himmat rakhta hoon chahe wo ham se door hai

Jo ho sakey toh mere bhataktey dil aur dimag ko thanda kar de

Bahut takleef se gujre hain ab mere ghamon ko door kar de

Mera sara chaman hi phook diya mere sabhi hausalon ke saath saath

Ay mere malik yeh tune kya kiya mere khushaal jindgi ke saath

Ab har kali muskura ke is gulshan mein mera hansi uddati hai

Main rowoon ya hasoon ye to hame pata nahin kyun ki mujhe dard satati hai

Baaki umar tanhai mein jalta rahunga khamoshi ke saath

Yaad karta rahunga un rasile dino ko jo bitaye thea unke saath

Aankh band hoti hai toh unki khoobsurat chehara saamney aajaati hai

Aankh khulti hai to Lakhan ko uske Saroj ki aahat mil jaati hai