Jannat Yahan Hai
Jab aankhon mein asq aa jaaye toh hansne ka lutf hi kahan hai
Wahi gudgudane wala phir mil jaye tab toh jannat yahan hai
Kabhi kabhi aadhi raat ko jab unka payam aata hai mere liye
Intzaari mein suntan hoon ki ye baat tal gai hai agle din ke liye
Bahut mayusi hoti hai is taalmatol se par kuchh kar nahin sakta
Kah deta hoon tumhi ho nigah mein jeewan bhar main intzaar kar sakta
Roj haanthon mein phool ka guldasta le ke jaate hain unke majar par
Yahi soch ke jeeta hoon ki aaj nahin toh kal wo aayengi mere ghar
Chali jaati hai unke paas meri neend toh phir sapne kahan se aayen
Isq mein khoob din gujarte hain sapne dekhe, jiye ya phir mar jaayen
Nazar aate rahte hain wo har waqt lekin yeh toh mera sapna hi hai
Mere dil mein hi rahte hain wot oh phir mujh se is kadar parda kyon hai
Lakhan ab suntan raha jo usne kabhi nahi suna tha aaj tak
Mohabbat aysi dhadkan hai jisko koi samjha nahin aaj tak.