ILAAZ KAHAN KHO GAYA HAI
Ab toh raat din beghudi hi saari rahti hai ye ajab jindgi hamari hai
Peechhe peechhe hain khushiyon ka kafila aage aage toh pareshani hamari hai
Mit jayenge magar koi shikwa nahin karenge yahi isq ka takaza hai
Ab kya poochhte ho mere dil ka haal yeh unke judai ka maazra hai
Bahla rahen hain apni bimare tabiyat ab yahi toh mera khinja naseeb hai
Is dil ke daman pe kya yahi bahaar ka naksha banana ka tarkeeb hai
Apne toote dil se na jaane kitne wadey karta raha aur karta rahunga
Na jaane kitni kaza aa aa ke talti rahi inn ko sahta rahunga
Kuchh yaron ne aa ke ada se poochha mijaz toh kah diya shukr hai aap ki
Unko kya pata main kis dard ko sah raha hoon kaysi jalan hai aag ki
Ab main chalta toh saaya bhi mere saath nahin deta na barf kaam aati hai
Seene ke is dhadhakti jwala ko thandak dena kisi ko bhi nahin aati hai
Jara jara si chot par ro padtey ho Lakhan ab tum ko kya ho gaya hai
Is jamane ke hakimon se poochho ki is dard ka ilaaz kaha kho gaya hai.