Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Saroj Ko Rakhna Khushi

 

Haal mujh gamjade ka jis jis ne jab bhi suna to ro diya hoga

Gham hi dikhlati hai kismat aage aage dekhiye malaal kya hoga

Ummeed unse milne ki chhoot nahin sakti unke dar pe jana hoga

Aaj nahin toh kal is madhur milan ke liye ham ko bhi jana hoga

Ab kya batayen ki is chaman ke beech kabhi apna bhi aashiyana tha

Unke jaane ke baad sab kuchh kho gaya lekin maine ummeed thana tha

Isi ummeed par ab jee rahe hain laakhon hausale aate hain aur chale jaaten hain

Himmat rakh Lakhan duniya musafir khana hai yahan log aate jaaten hain

Gujarta hoon gali se main toh mere yaar hans ke kahte hain aage ki fikr kar

Kissa gaya, fisaad gaya ab aage chal apne sab dukh dard bhula kar

Dojakh ho ya jannat ho job hi hai wahi hai ab tere nazar ke saamne

Logon ko kya pata hai kayse pata ho jo gujarti hai tere saamne

Lakhan kisi ki baato pea mal mat kar wahi kar jot era dil kahta hai

Apne Saroj ko rakhna khushi chahe jahan bhi unka aatma rahta hai.

 

img15.jpg