Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

SWARG BHI FIKI HOGI

 

Ghabra ke kahte hain ki chalo mar jaayen is se bhi chain na aaye toh kidhar jaayen

Marna itna aasaan nahin Lakhan jo chale gaye wo aaj tak laut ken a aayen

Ye mere hamsukhan agar hosh hai tujhe toh ab is duniya se kahin door bhag ja

Lekin koi aysi jagah khoj jahan dukh dard ya tanhai aur gham ke badal na pa

Kaun hai jo mujh pe afsos nahi karta mera jigar dekh ke uff nahin karta

Lekin sab ki apni apni fikr rahti hai toh mera fikr ab kaun karta

Akele jaan ki rahen sahen aysi ho gayi hai jayse ghane jungle mein ek tota hai

Khamosh hai won a kisi se aankh milaata hai na us se kisi se baat hota hai

Suna tha kaher hai, maut hai, kaja hai isq, par ab jana ki buri bala hai isq

Unko dekhne se jab aa jaati hai chehre pe ronak to pata chala yahi hai isq

Galib ne puchha tha, dile naadan tujhe hua kya hai, is dard ki dawa kya hai

 Jawab koi mujh jayse ghayal se puchhe jiska dil toota sab kuchh lut gaya hai

Saroj jo aa jaye phir se ghar mein hamare yeh toh unki badi meharbani hogi

Lakhan apne ghar ko aysa saja dega ki uske aage swarg bhi fiki hogi.