Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

SAROJ KE MOHABBAT

 

Unko main kis tarah bhulawoon yaad jo mujh ko har waqt aate hain

Unse kayse chhipawoon koi bhi gham apna jo saamney hi rahten hain

Gulshan ho ya bahaar ho jannat ho ya phir dojakh mein hi sahi

Chaahe jahan bhi tum chip gaye ho ham tum ko khoj hi lenge wahi

Ab toh dil ko barbaad kar ke baytha hoon koi khushi bhi nahin rahi

Mujh ko hi is viraaney me tadapna tha un ka koi kusoor nahi

Ab yahi hai maayus jindgi meri aura b hamara haal hi aysa hai

Din din jindgi tabah hoti jati hai mera malaal hi aysa hai

Kisi shayar ne theek kaha hai, isq nahi aasaan jo samajh mein aa jaaye

Kabhi wo aag ka dariya hai kabhi barf ka tukda hai agar ham jaan jaaye

Koi dukh aur sitam yaad nahin bas ab unki wafa hi yaad rahti hai

Lakhan ko ab Saroj ke mohabbat ke siwa aur kuchh na yaad raheti hai.