WO UTNA HI DOOR HOTE HAIN
Is prem rogi ki haal mat puchhoo haalat toh wahi hai jo unke jaane ke baad thi
Khud jal ke rah gayi hai parwaane ke saamne jisko kabhi unse mohabbat thi
Roj milna chaahatey hain unse kahin na kahin par ab aysa mumkin nahin hoti
Is sinea mein kuchh aur dil hote toh hajaron gham sahne ki himmat toh hoti
Hamko unhon ne pyar diya tha par ab kewal aansoo, chubhan aur gham mila hai
Magar yeh toh bata do duniya walo ab khushi pane ke liye kahan koi sila hai
Bhala toh yahi hotaki ham kabhi pyar hi na karte is dil mein dard na rahta
Jab tak wo mere pass thi toh kewal sukoon tha dil dimag sada chaman rahta
Ab apna kisko kahen haon hai paraya sab kuchh paake sab kuchh kho diya hai
Maut se badtar thi ye jindgi unki bagayr, unka saath ne hamko sahara diya hai
Ab toh saath hi chhoot gaya unka toh na rone pe khush hain na hansney pe raji hote hain
Jana toh hamko bhi hai udhar hi yaro lekin meri hamsafar kahan raji hote hain
Ab main dekhunga kahan tak pahuchi hai meri barbaadi, aankhon mein kitne aansoo hote hain
Lakhan jitna unke kareeb hone ki koshish karta hai wo utna hi door ho jaate hain.