Aangan mein jab baarish ho aur ham
bhigne lage
Aysi baarish to har ek ke liye barasti
rahti hai
Lekin jab aankhen barasti ho aur dil pe
chot lage
Aysi dard ki baarish to sirf unke liye hi
hoti hai
Meri taqdeer ne jayse chaha dhal gaye
thea ham
Aadhi sadi sambhal ke chaley par fisal
gaye ham
Bijli giri aur meri dilruba mujh sey
bichad gayi
Mera sapna sab toot gaya ye jindgi hi
badal gayi
Door jaa kar bhi ham door nahi ho
paayen hain
Unko kitna yaad karte hain bata na
sakten hain
Mujhe yeh gam nahi ki unse phir mil
na sakenge
32 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Dard is baat ka hai ham unko bhula na
sakenge
Ab to gheele kagaz ki tarah hai jindgi
hamari
Na hi jal sakta hoon na koi kadar hai
hamari
Aakele phirtey hain ab is dil ke raahon
mein ham
Na koi chahne wala hai na kuch chahte
hain ham
Suna tha ki pyaar aur maut sey koi
darta nahi hai
Maut to aahi jaati hai aur pyaar to ho
hi jaata hai
Hamne to kar di pyaar mein kurbaan
apne aapko
Yeh to pata chale ki kaun pyaar karta
hai hamko
Yeh jindgi bhi ajeeb hai kayi mushkilen
aati hain
Pyaar na ho to jinda rahne se ham
ghabrate hain
Mayushi chubhti hai akelapan bahut
sataati hai
33 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Jayse kaanton ke beech ek phool
muskurati hai
Kahte hain ki waqt aur ustaad dono
sikhate hain
In dono ke shikchha mein sirf itna fark
hote hain
Guru ji hamko shikcha de kar imtihaan
lete hain
Par yeh waqt ham ko imtihaan lekar
sikhate hain
Yahan hamne na hanske na ro ke kuch
seekha hai
Jo kuch bhi seekha hai bas unke ho ke
seekha hai
Har pal jo unka saath tha to jindgi
khoobsurat thi
Unke hi sab ishaare par meri jindgi
chalti rahti thi
Jayse is maujon ke sagar mein fareb
kiya hai usne
Main to ab doob raha hoon yahan
bichad ke unse
Kai gardishen kai gam ab sataa rahi
hain ham ko
34 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Unko pata nahi kaysi dukh dard rahti
hai ham ko.