Bachpan ke din bhi kaysi ajeeb rahti thi
Achche bure ki koi pehchan na rahti thi
Ham sirf khilono sey hi khela karte thea
Ham ro dete jab khilona toot jaate thea
Un dino ki khushiyan badi anmol hoti thi
Uchhal kood mein apni din beet jaati thi
Hanste thea ro lete thea koi dard nahi thi
Samay beeta to bachpan bhi beet gayi thi
Aayee jawani to saarey haalaat hi badal gaye
Nikhaar aaya to pyaar karne ke din bhi aagaye
Pyaar hua ikraar hua kisi ke dil mein bas gaye
Dil sey dil mila aur sarey chaman khilney lage
Pyaar mein har sawaal ka jawaab nahi hota hai
Dil lagi sukoon deti dil toota to takleef hota hai
Pyaar kiya to darna kya ham aysa hi kahte hain
Lekin aajkal dil lagi mein kisika barosa nahi hain
35 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Bachpan mein toh dil khol ke ro liya karte rahe
Khilona nahi par ab to apne dil bhi tootey rahe
Ab ham apne ek ek aansoo ko ginte rahte hain
Dard hota hai jab pyar mein dhokha khate hain
Aysa hi ho gaya jab hamari pyari Saroj chali gayi
Aadhi sadi ki hamari wo pyaar mitti mein mil
gayi
Maana ki jindagi mein aysi dukh sab par aati hai
Lekin mujhe is dard ko sehna bahut mushkil hai
Unke liye ham ney kai pooja kiye maafi bhi
maangi
Unke aatma ke shanti ke liye kai duayen bhi
maangi
Saroj mujhko phir miley na miley yeh unki marji
hai
Unke aatma ko sadgati miley yeh Lakhan ki dua
hai.
36 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Pyaar Mohabbat Prem Aur