Mohabbat ek aysi paak rista hai jo har
ek dukh dard ki dawa hai
Mohabbat ki unko duhai na dein jinhe
dil ki dhadkan sunati nahi hai
Pyaar sey kisi ka naam le ke pukar kar
to dekho dil ko kya sukoon milti hai
Preet karne sey jo khushi jigar ko milti
hai waysa namoona kahin nahi hai
Prem hi wo bhav hai jis ke jariye har
insaan ek doosre ko pehchaan letta hai
Duniya ke sab dhan daulat bhes bhusa
pyaar ke saamne kuch bhi nahi hai
Isi addhai akchar ke shabd sey manush
sari duniya ke dil ko jeet leta hai
Par na jaane kyon log ek dusre sey
nafrat karte aur mohabbat sey door
rahte hai
Is duniya ki sabhi bulundi kisi kaam ki
nahi jahan sey pyaar na aati hai
Jara kisi sey thoda sa pyaar kar ke to
dekho ki kaysi sukh shanti milti hai.
Pyaar ek ibadat hai pyaar hi bandgi hai
pyaar hi asli jindgi hai
37 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Pyaar kiya to darna kya pyaar koi
gunah nahi pyaar pawitr rishta hai
Pyaar karke phir ijhaar karo to dekho
tamasha pyaar ka kya hai
Jindgi phoolon sey bhar jaayegi jiska
mahek aur kahin nahi milta hai
Mohabbat ek aysi nagma hai jiski
sabak us ko gungunaney sey milti hai
Mohabbat aysi fitrat hai jiski matlab
pyaar karne sey milti hai
Dushmani ke duniya walo prem karne
walo ko roshni milti hai
Dushmani bhaag jaati hai insaan
bulundi par pahunch jata hai
Pyaar mohabbat prem aur preet karne
walo ki duniya badal jaati hai
In shabdon ki khoobi wahi manav
samjhega jisko
pyaar karna aati hai.
Mohabbat hi jo na samjhe wo jalim
pyaar kya jaane yeh to sachh hai
Gala kis ka kata kyon kar kata talwar
kya jaane yeh bhi to sach hai.
38 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame