Love Is Fire Love Is Flame by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

RISHTA TOOT GAYA

Ek chota sa shabd hai jise ham sab jaantey hain

Rishte ke wasoolon ko ham sab

pehchante hain

Dosti kaysa rishta hai yaro

kya bataawoon main

Yeh ek paak jazbaat hai jis ko

jaanta hoon main

39 Dr Ram Lakhan Prasad

index-40_1.jpg

Love Is Fire Love Is Flame

Maine ek din dosti kar ke ek rishta banaaya tha

Rishta bana pyaar hua aashiyana banaaya tha

Jindgi hari bhari thi pyaar ka bandhan bana tha

Sukh ke samandar mein bada aman chain tha

Lekin ek aysi bijli giri ki chaman jal ke rakh hua

Wo chal basi tab unki judai sey bada dukh hua

Ab inn dino apne tanhai ko liye chal raha hoon

Jina mushkil hai un ki yaaden liye ji raha hoon

Jis din takleef hoti hai ab koi hamdard nahi hai

Mere dard ko dawa denewala koi dost nahi hai

Majdhar mein doobo Kya dosti isi ko kahte hain

Jiwan bhar ka saath hona kya isi ko kahte hain

Jane wale chale jaate hain yadon ko chor kar

Ham toh yahin rah jaate hain tadap bilakh kar

40 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Kisi Sey Kya Maangoon ?

Sab kuch to mil gaya tha mujhe unko

chahne ke baad

Phir aur kya maangta kisi se unko

paane ke baad

Saare jeewan kI khushi mil gayi thi

unke hi chaahton ke saath

Pyaar ke bandhan mein bandh gaye

thea chalne lage thea saath saath

Chaahat bhi mil gayi thi aur mohabbat

se rahte thea saath saath

Jeewan ayse sukh se chalta tha dete

thea ham ek dooje ke saath

Hamko to jannat mil gayi thi jo mil gaya

tha unka saath

Hamaari pyaar ki duniyan bas gayi thi

haanthon mein rahta tha haanth

Mujhko kuch aur dekhna nahi tha

unko dekh lene ke baad

Sab kuch to dekh liya tha unki jalwaa

dekh lene ke baad

Jo bhi aarjoo tha hamara wo sab unse

hi pura ho gaya tha

Ham ek dooje ke ho gaye thea yahi toh

hamara khushnaseeb tha

41 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Hamare jeewan ki gaadi aaraam sey

chal rahi thi ham thea saath saath

Mere takdeer ne mujhe dhokha diya jab

choot gaya mera unka saath

Wo toh chal basi swarg mein par main

yahi rah gaya malke apna haanth

Jaane se pahle wo kah gaye thi bhool

jaana mujhe mere jaane ke baad

Wo yeh nahi bataayee main kayse bhool

jaawoon unke jaane ke baad

Lakhan ka sab kuch toh kho gaya hai

unke chale jaane ke baad

Ab kisi se kya maangoon main apne

Saroj ke chale jaane ke baad.

Lakhan Saroj ko pyaar karega sabhi