Kis sey kahoon kissa apne yeh dard aur
gam ka
Yahan koi ham nasheen na hai na koi
yaar hai
Jo mera anees tha ab wo mera ek yaad
hi hai
Jo mera shafeek tha ab wo mera diljaar
hi hai
42 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Main hazaar na karta lagawaten ya
minnaten
Main kabhi na aataa unke pyaar ke
fareb mein
Agar mujh ko pehle sey is ki khabar ho
jati
Ki unka aur mera thode dino ka pyaar
hai
Yeh sab dukh ki khabar ja auron ko
suna do
Ham toh bas ek kaidi hain apne is
jindgi ke
Hamari wo chaman toh ab sab bikhar
gai hai
Ab kahaan dhoondhoon pehele ki
bahaar ko
Is jeewan ke chakr mein ab khushi
kahan hai
Yahan toh kewal dukhon ki janjaal
rahti hai
Din raat hazaar dard gam dil mein
rahte hain
Yahi toh ab mere dildaar aur mere
saathi hain
43 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Wo nazar mujh sey mila gaye unki
meharbani hai
Yeh mere liye toh ab laakhon aafatein
ho gayi hai
Mere dil dimag aur hosh hawaas udd
gaye hain
Ab yahaan na koi chain na hi sabr -
karar hain
Logo ko ab raham aataa hai meri tanhai
dekh kar
Wo jahaan bhi ho khush rahe ab meri
fikar na kar
Jindgi jo bachi hai usko jee lenge unki
hi yaad mein
Lakhan Saroj ko pyaar karega sabhi
janmon mein.
Saroj Kahin Chhup Gayi