Love Is Fire Love Is Flame by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Yeh Bura Huwa

Mere Saroj ka aatma jahan bhi ho

wahan main mauzood hoon

Wo jo abhi bhi kahde toh apna sab tan

mann un par luta doon

Sara umar bitaya tha ab unke raahon

mein palken bicha doon

Wo jo hamey bulaaye toh main patang

ban kar chalaa jawoon

Main chor doon saaraa jamana unke

rang mein rang jaawoon

Unke aankhon ke aansoo main inn

aankhon mein chhupa loon

Mujhe toh apney pyaar par naaz tha

lekin uss din kya ho gaya

Hamara saath kayse choot gaya bada

dukh hai wo kya ho gaya

Ab mere jindgi mein koi roshni hi nahi

sab chirag bujh gaye hain

Andhera ho gaya hai jeewan mein sab

raaste band ho gaye hain

Wo toh saath chorke guzar gaye par

mere saamney ab bhi hain

Jo hamsafar mila tha hamko unke

saaye sey door ho gaye hain

46 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Meri takdeer kayse dhokha de gayi

mujhe ranj hai yeh bura huwa

Thaka thaka sa lagta hoon Lakhan ghar

mein rehtaa hai luta huwa.