Love Is Fire Love Is Flame by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Yeh Chaman Hamaaraa Hai

Yeh mera toota dil ab kisi sey sikwa

karne ke kabil hi raha nahin

Apna toh ab apna hi na raha jo hamara

tha wo bhi hamara nahin

Aye mere najuk dil chal kahin aur chal

yeh chaman ab tera nahin

Yeh chaman mein na koi phul hain ab

toh kaanten bhi chubhte nahin

Unke jaane ke baad darbadar bhatkaa

hoon kahan unko pukaara nahin

Ab toh thokren hi bache hain yahan ab

unse milna gawara nahin

Tujhe doondti hai nazren mujhko kyun

apni jhalak dikhati nahin

Meri jindgi ki maalik mujhe waasta hai

tujhse tu aati kyun nahin

Tu bichhad gayi hai jabse neend udd

gayi hai chain bhi aati nahin

Teri raah taaktaa rahta hoon meri

chand wapas aati kyun nahin

47 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Tu kahan chhupi ho jaake mujhe apni

shakal kyun dikhaati nahin

Umar bhar ka sahara tha thodey din ka

milan koi milan hi nahin

Lakhan ko ayse sataaney sey kya faida

unka milan gawara nahin

Saroj ab yahi kahti hai yeh chaman

hamara hai tumhaara nahin.