Love Is Fire Love Is Flame by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

WAQT TOH LAGTA HAI

Mere bichade huye dildaar se na kabhi

shikayat thi na hai na hogi

Ham ko kisi gayr se koi mohabbat na

kabhi thi na hai na hogi

Mere dil ke aayene mein abhi bhi basi

hai unki hi surat

Kisi aur ki surat mere dil mein na

kabhi thi na hai na hogi

Unke sabhi wafaawon se mujh ko mil

gaya tha sab kuchh

Mujhe koi aur jannat ki aarju na kabhi

thi na hai na hogi

Ab jab bhi unki tasveer ko apne seene

se lagata hoon main

Us mein se ab unke dil ki dhadkan ko

hi paata hoon main

Aaj mere kismat ne badi dukh ke din

dikh diya hai

50 Dr Ram Lakhan Prasad

index-51_1.jpg

Love Is Fire Love Is Flame

Na jaane kitni baar mujhe unki madhur

yaad aayaa hai

Jinko main ne chaahaa tha jinko main

ne pooja tha

Kal tak jo mera apnaa tha aaj toh woh

paraaya hai

Sachhe pyaar ko ayse bhulaane mein

waqt toh lagta hai

Sabhi naye parindo ko udhney mein

samay toh lagta hai

Ham ne apne dil ke jakham ki ilaaz

dhoondh toh lia hai

Lekin har gahre jakham ko bharne

mein waqt toh lagta hai

Aysi gaanth agar lag jaaye toh phir

rishte ho ya dori

Chaahe laakh karen koshish sulajhne

mein waqt lagta hai

Yeh Lakhan ki jism ki baat hai Saroj ke

paas tak jaana hai

Par koi bhi lambi doori tay karne mein

waqt toh lagta hai.

51 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Unke Paayal Aur Kangan Ki Aahat

Jab bhi mere seeney mein jakham

ubhadtey hain unki yaad aajaati hai

Mere sabhi dukh dard kam ho jaatey

hain jab unki madhur yaad aajaati hai

Unke madhur yaadon ke saath

shabnami sitaron mein phool khill jaati

hai

Chaand taare sab muskuraney lagtey

hain jab unki yaad aajaati hai

Jeewan kat rahi hai lekin umar bhi

dhal rahi hai unki yaad na jaati hai

Ham unke naam ke diye jalaatey hain

jab bhi unki yaad aajaati hai

Dill ke sabhi taar baj uthtey hain jab

unki paayal ki aahat kahin se aati hai

Dill mein ek kasak si ho jaati hai jab

unki wo aahat gum ho jaati hai

Ab toh unki yaaden aa aa ke meri

neendon ko udda le jaati hai

Sabhi sunaharey khwaab toot jaate

hain jab meri aankhe khul jaati hai

Ab unki kangan ke aahaton sey Lakhan

ki tan mann bahal jaati hai

Dill ke tootey tukdey bikhar jaaten hain

jab Saroj phir ruksat ho jati hai .

52 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame