Unke hi pyaar ki maalaa japtey hain ab
apne is viraan jeewan mein
Unko hi apne chaahat ki rang
dikhaatey hain apne bhaawon mein
Unke raaj mein main ne seekha tha ki
pyaar ke anek rang hote hain
Lekin unke saadgi ke rang kea age aur
sab rang feeke deekhte hain
Unke nidhan ke baad ab katti nahin ye
andheri shard ki sab raaten
Subah hote hi unki chah badhti yaad
aati hain unki meethi baaten
Na Jaane kayse subah se shaam ho
jaati unki hi rah dekhte dekhte
Unko yaad karna bahut achcha lagta
hai unki tasveer dekhte dekhte
Khaana peena sona ya jaagna hansna
ya rona unki hi yaad satati hai
Unka saath ka na hona ab mere dil aur
dimaag ko bilkul na bhaati hai
Apne muh ko chupaa leta hoon jab
aankhon sey ashq bahney lagte hain
Is haalat ko meri kamjori na samjho
ham abhi bhi unse pyaar karte hain
53 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Na jaane is jeewan mein kyon log
milkar itna pyaar aur dulaar detey hain
Jeewan bhar saath rahne ka waada
karke phir yeh saath chor jaatey hain
Unka wo Lakhan ab toh unka hi aashiq
hai bas ek diwaana dilbar ki tarah
Saroj maaney ya na maaney unka
preetam bhatakta hai pagalon ki tarah.