Unki zulfon ko laharate huye
dekha toh dil dhadak gaya
Yeh dekh ke mera dil giraftaar hua
unsey pyar ho gaya
Ab agar koi mujhko diwaana kahe
toh main naraaz ho gaya
Mere mehboob ko jab logon ne
dekha unka bhi dil jal gaya
Zulfon ke janjeer sey unka
chehara chhupa rahta tha
Pawan ke un kadijhonkon sey
unka surat nazar aata tha
Unki khoobsurati ko dekh kar
mera dil machal jaata tha
69 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Mujhe chhup ke unki surat
dekhne sey sukoon milta tha
Unki nazar jab bhi uthti mere liye
duwa ban jaati thi
Jab bhi unki nazar jhukti toh wo
meri haya ban jaati thi
Par jab wo apna nazar tirchhi karti
to adaa ban jaati thi
Jab bhi pherti thi nazar toh wo
meri kaja ban jaati thi
Undino chhoori na teer na talwaar
sey kuch hone wala tha
Ham ko toh us jalim ke dono
nazaron ne hi maar daala tha
Jab unki naseeli nazaren uthke
mere nazron sey milti thi
Unke jalwa dekh kar saare badan
mein bijli chamakti thi
Hamne apne nazar sey kaha tha
unko is kadar na dekha karo
70 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Agar unki nazar palat gayi tab
apne nazar par bharosa karo
Aysa na ho ki unki nazar badal
kar ek daasta ban jaaye
Nazaron ki asar dil tak pahuche
toh baat khatam ho jaaye
Yeh dil ek mandir ban gaya aur wo
uski murat ho gayi hai
Mere dil mein ab murat nahin
unki surat nazar aahti hai
Ayse pyar ke mod par jab do dil
mil gaye gajab ho gaya
Jeewan bhar saath rahne ka
waada kiye dil jawaan ho gaya
Pyaar kiya wafadaar rahe dono
prem ke bandhan mein bandhey
Saath saath jeena tha is liye
marne ki koi baat nahin kartey
Pyaar ke mod par miley thea aur
sare wade nibhaye thea hum
71 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Wo toh chali gayi ham sey door
par wada nibhatey rahe hai hum