Love Is Fire Love Is Flame by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Mere Saroj Ke Vichaar

Mere Saroj Devi ki jindgi kahin phoolon

sey saji thi toh kabhi wo kaanton par bhi

chali thi. Jo bhi tha wo apne jindgi sey

apne nidhan sey kuchh pahle bahut pyaar

karti thi aur parmaatmaa mein unka

vishwaas atal tha. Lekin jab unko dil ka

138 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

daura pada tab sey wey badi laachaar ho

gayi thi aur unhon ne jeene ki sabhi chah

sey door hone lagi thi.

Kai baar jab ham apne lekh karne baithtey

thea toh kabhi hamarey lekh kavita ban

jaatey thea toh kabhi kalpit kahani bana

detey thea. Jo bhi hota tha wo hamaarey

niji vichaar hotey thea. Inhi romaani

samay mein meri Saroj ne mujh sey na

jaaney kithey hi apne dilki baaton ko

bataaya karti thi. Unke ujjwal antar

aatmaa mein na jaaney kitney sundar,

achhey aur sachhey vichaar bharey rahtey

thea.

Apne vivah ke chaalis varshgaanth par

unhon ne hamse apne pyaarey shabdon

mein bataya tha ki wey apne jeewan kaal

mein na jaane kitney rishton ko

nibhaaney ki koshish karti rahi lekin na

139 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

jaaney unko aysa kyun lagta tha ki wey

apne kisi bhi rishtey ko bhali bhaanti

nibha nahi saki thi. Unko iska bahut dukh

tha. Main unke sabhi annye baaton sey

sahmat tha par unka yeh vichaar kewal

unka bhram tha.

Usi samay main ne apney jordaar shabdon

mein unko bataya tha ki aysi koi baat nahi

hai kyonki wey ek ati uttam putri thi, ek

bahut safal vidyarthi thi, ek bhaktimaan

sakhi thi, ek pyaari bahen thi, phir ek

priyetam patni bani aur jab wey ek

mamtaa sey paripurna maa bani toh wey

ek behadd bharosey daar naani aaji bhi

ban kar apne sabhi naati potton ka dil jeet

liya tha. Par mere sabhi aaswaasan ke

bawajood bhi meri Saroj ke mann mein iss

Vishay par bahut maleenta thi jisko wey

mere saamney baar baar prakat karti rahi.

Mujhe na chahtey huye bhi inn sab ko

sunna pada tha.

140 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Meri pyaari Saroj kahti rahi aur main

chupchaap suntaa raha aur phir karta bhi

kya kyon ki unke shabdon mein utna

mithaas rahti thi. Unka kahna tha ki jab

wey ek paawan aur sulakchhan putri ka

farz adaa karti rahi tab unko laga tha ki

unke sabhi karkamalon ko kisi ne purey

roop sey samajh hi nahi paya tha aur wey

ek adhoori beti ban kar rah gayi thi. Unko

yeh jaan kar bahut dukh hota tha ki wey

apne pujye maata pita ko purey roop sey

khush nahi kar saki thi ki unki shaadi ho

gayi thi.

Apne shaadi ke baad na toh wey apney

saas sasoor ki khushi ban saki aur na hi

apne College ke priyetam pati ki purey

roop sey ardhangni hi ban paayi thi. Unko

lagta tha ki wey apne laakh koshishon ke

baad bhi ek adhoori patni hi rah gayi thi.

141 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Wey apne pati ki sabhi maangon aur

chaahaton ki bhali bhaanti purti nahi kar

paayi thi thathaa iss ke liye unko bahut

dukh dard hota raha hai.

Jab unhon ne apne chaar honhaar bachon

ko payda kar ke un ka sahi parwarish kiya

tab bhi unko aysa laga ki wey ek achhi

maa bhi nahi ban paayi thi. Naani aaji ki to

baat chor hi do lekin wey ek safal

vidyarthi hote huye bhi apne jeewan mein

koi khaas safaltaa nahi paa saki thi. Yeh

un ka anumaanit kathan tha jisko main ne

kabhi bhi maanney ke liye tayyar nahi tha

aur lagataar inkaar karta raha aur unka

sahi sthaan Prasad Pariwaar mein

dikhaataa raha. Saroj mere pariwaar ki wo

jabardast sila ya khoonta thi jis par pura

pariwaar bharosa liye aage chalta raha.

Ham sab us puneet aur pawintr devi ki

142 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

sada araadhana aur pooja karte rahe aur

abhi bhi karte hain.

Main ne unse shaayad hazaar baar kaha

tha ki un ki jeewan mein sabhi bhi safalta

aur karam bejodh rahi hain jis ka koi

barabari ya mukabla hi nahi hai. Wey ek

ati safal adhyapika thi aur teen

vishwavidyalayon sey kai digree kar ke

sab ko dikha diya tha ki wey kitni

hoshiyar, kushal aur nipurna vyakti hain.

Kai ati uttam high school ki Head of

English ka pad safalta purwak nibhaya tha

aur phir ek senior lecturer ban kar na

jaane kitne naye adhyapak adhyapikawon

ko tayyar karaaney mein apna sahyog diya

tha. In sab ka kewal ek hi matlab tha ki

wey ek ati safal aur honhaar vyakti thi.

Inn sabhi maayushiyon sey unke vajood

aur saksiyat par bahut gahera chot

pahucha tha tab unhon ne hamse kaha

tha ki wey apne jeewan ke kuchh antim

143 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

ghadiyon mein kewal ek saadharan aurat

hi ban kar rahna chahti thi. Unke liye

sabhi rishte naate jhoothe aur swarth sey

bhare deekhney lage thea. Wey dharma

ke sabhi paakhand ki bade jordaar

shabdon mein khandan karne lagi thi.

Unko wahi log achhe lagtey thea jo sabhi

shubh karam kar ke apna jeewan nirwah

karte thea. Wey apne jeewan ke antim

teen saalon mein sabhi pyaar mohabbat

ko banawati samajhne lagi thi aur ek

sanyaasani ka roop lekar jee rahi thi.

Unke iss vyaktigat ikchha sey ham

santusht toh nahi thea par unka kadar

karna hamara farz ho gaya tha. Main

unsey usi tarah bahut pyaar karta raha

par hamara unsey

koi shaareerik

sambandh nahi rahata tha. Yahi unki

antim ikchhaa thi jisko main ne nibhaanaa

uchit samjha tha.

144 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Lekin apne nidhan ke ek do din pahle

unhon ne kaha tha ki unka astitwa yahi

kahne laga hai ki wey ab ek achhi aurat ka

farz bhi nahi adda kar paa rahi thi is liye

unko ab iss duniya ko chorney ka samay

aa gaya tha. Yeh sab sun kar mere dil aur

dimag par jayse bijli gir padi thi par main

unko samjhaataa raha ki ayse bebuniyaad

vichaaron sey koi fayda nahi hoga aur unki

sewa hi hamare bachi jeewan ka aadhaar

tha.

Jab unhon ne yah kaha ki ab main kya

karoon tab main ne us din bahut laachaar

ho ke unse yeh kaha tha ki Darling, aap

mein koi khot nahi hai aur kewal mere liye

hi nahi par mere sabhi bachchon ke liye

aap ek mahaan lakhmi, maata, aaji, naani

hain aur mere liye ek ati sushil aur sundar

saubhav ki sati savitri patni rahi ho. Aap

mein kabhi bhi koi kami nahi thi, aur na hi

rahegi kyon ki aap ka sahi roop saraswati

145 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

devi aur lakhsmi devi se bhi uttam rahi

hai. Kami aur khot toh ham mein thi.

Meri inn baton ko sunkar unke chehre par

ek vyangaatmak muskaan aa gaya tha aur

wey mujhe wahi bhav purna pyaara sa

aalingan de kar apne kamre mein soney

chali gayi thi. Doosre din subah saat baje

snaan karne ke baad jab wey mere paas

apne kapde pahanney ke liye chali to wey

mere baahon me apni dam todd di thi.

Main ek dam sey bikhar ke tadap ke rah

gaya aur aaj bhi unke madhur yaadon ko

liye kisi tarah ek jinda laash ki tarah jee

raha hoon. Shayad yahi mere aseem

pyaar ki saja hai ki main sesh jeewan iss

kaid aur aag mein jalta rahoon.

Sab sey bura baat unke liye yahi raha ki

unke antim teen saal mein mujhe unki

sewa karne ka awsar prapt huwa tha. Wo

146 Dr Ram Lakhan Prasad

index-147_1.jpg

Love Is Fire Love Is Flame

aysa kabhi bhi nahi chaahti thi kyon ki yeh

unke liye patiwarta ka ulanghan tha. Main

ne unse baar baar kaha tha ki jab wey

hamaari sewa pichle pachaas saal sey

karti aayi thi toh mera ek do saal ka sewa

ek bahut maamuli sewa hai aur hamare

liye bade fakr ki baat hai.

147 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

WHO WAS SHE?

She was my strong raft in the rapids of my

life

She was my only peace in the midst of all

strife

She was the needed shore to shipwrecked

soul

She was the strongest bridge to my life-

long goal

She was the greatest finish of an adorable

run

She was the only shine when there was

no sun

She was my rope to hold when I started to

fall

She was my beloved wife and she was my

all

She was my Pretty Lotus of my lovely

pond

She was my angel whose memories are

fond.

148 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame