Love Is Fire Love Is Flame by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Meri Praan Priye

Jisne kabhi mere mehbooba ko dekha

hi nahi tha

Unko pataa nahi mere dilwar ka jalwaa

kaysa tha

Hamne unko kamal maanaa aur gulab

kahaa tha

Unka ek ajeeb roop raha aur junoon

lajawab tha

Mere pure pariwaar mein unka maan

bejodh tha

Jisne kabhi mere mehbooba ko dekha

hi nahi tha

Unko pataa nahi mere dilwar ka jalwaa

kaysa tha

Jise main haseen samajhta hoon mera

gulab tha

Jise main dil mein sajaya tha wo mera

dildar tha

17 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Jise humne chaha tha wo hi mera

priyetam tha

Mere mehboob ke junoon ka koi jawab

nahi tha

Mere mehboob ke paas mohabbat ka

dariya tha

Jisne kabhi mere mehbooba ko dekha

hi nahi tha

Unko pataa nahi mere dilwar ka jalwaa

kaysa tha

Wo pyaar ki sagar thi aur mere dil ke

kareeb thi

Wo meri chand thi aur mujhko chandni

deti thi

Wo meri dhoop bhi thi aur hame

chhanh deti thi

Wo mere jeewan ki saathi thi meri pran

priye thi

Wo mere dil ki dhadkan thi aur meri

har saans thi

Jisne kabhi mere mehbooba ko dekhi hi

nahi thi

Unko pataa nahi mere dilwar ki jalwaa

kaysi thi

18 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Unki dupatta jab bhi lahraye to bahaar

aajaati thi

Unki awaaj jab nikle to madhur sangeet

banti thi

Unki aankhon ke chamak se mujhe

rahat milti thi

Unki morni jaysi chaal se mujhe

sukoon milti thi

Unki honth mere liye gulab ke

pankuddi rahti thi

Jisne kabhi mere mehbooba ko dekhi hi

nahi thi

Unko pataa nahi mere dilwar ki jalwaa

kaysi thi

Mere dilwar ke do nayno mein gehri

jheelen thi

Un nayno ke jheel mein sundar kamal

khilti thi

Unke haanthon ki kangan mere liye

khanakti thi

Unke payron ki paayal sirf mere liye hi

bajti thi

Unke maathay ki bindiya mere liye

chamakti thi

Jisne kabhi mere mehbooba ko dekhi hi

nahi thi

19 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Unko pataa nahi mere dilwar ki jalwaa

kaysi thi

Apne priye ko dekhkar mujhe shaayari

aajati thi

Apne dilwar ko milte hi ghazal ke taar

chhidh jaati thi

Unki aankhe unchi hoti to meri dua

ban jaati thi

Jab jhuk kar uthti to mere liye ek adda

banti thi

Unki pyaari surat aur sirat humko

diwana ki thi

Jisne kabhi mere mehbooba ko dekhi hi

nahi thi

Unko pataa nahi mere dilwar ki jalwaa

kaysi thi

Lakhan ki mulakat agar mere mehboob

se na hoti

Saroj ke paawan kadam meri aangan

mein na hoti

Jeewan saathi ki waada nibhati to

bekarari na hoti

Humse pahle na jaati to ye judai ki

sadma na hoti

Dil unke liye machalta hai yahi malik ki

marji hoti

20 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Agar kisi ne kabhi mere praan priye ko

dekh li hoti

Mere dilwar ki jalwaa kaysi thi yeh

unko pataa hoti

Wo bahut dur ho gayi par mere dil mein

hi rahti hain

Meri roj ki tanhaayi mein wo mere paas

hi rahti hain

Unse firse miljaane ke liye ab hum

kitna tadapte hain

Unko bhulne ke meri sabhi koshish

nakaam hoti hain

Wo to chali gayi swarg mein par hum

sub rotten hain

Gar koi kabhi bhi mere priyetam ko

milna chahte hain

Wo mere saath chalyen Lakhan unka

pataa jaante hain

Wo door ho gayee par mere dil mein hi

rahti hain

Meri rojki tanhayi mein wo mere paas

hi rahti hain

Ab Kitna Tadapte hain hum unse fir se

milne ke liye

21 Dr Ram Lakhan Prasad

index-22_1.jpg

Love Is Fire Love Is Flame

Sabhi koshish nakaam hoti hai aapko

bhulane ke liye

Jaanta hoon ke yeh punar milan

mumkin hi nahi hai

Lekin dil mantaa nahi aur mann unko

bhulta nahi hai

Kahten hain Lakhan ki Saroj ab is

duniya mein nahi hai.